Friday, April 26, 2024
HomeIndiaModi ne Namaste Trump ko kamyaab bananay ki koshish mein mulk ko...

Modi ne Namaste Trump ko kamyaab bananay ki koshish mein mulk ko shadeed nuqsaan pohanchaya

Aurangabad: Hindustan mein Coronavirus ke sabab hue zabardast jani aur maali nuqsaan ke liye Wazeer-e-Azam Narendra Modi ko baraye raast zimma daar qarar dete hue reyasti wazeer baraye auqaaf aur aqliati umoor-o-aqliati falah-o-behbood Nawab Mulk ne kaha ke Namaste Trump ke chakkar mein Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne mulk ko barbaad kar diya. Mulk mein corona ke baais baday pemanay par halakatain hui aur mulk ki iqtisadiat ko zabardast nuqsaan pouncha, Aur yeh sab Modi ki ghalat policy aur galat hikmat-e-amli ke sabab huwa. Unhoun ne kaha ke saal guzashta 21 December ku bain ul aqwami Health Emergency ke nifaz ka elaan kiya gaya tha, Jis par agar sanjeedgi se amal kiya jata tu corona ke baais hamaray mulk mein itni badi tadaad mein halakatain nahi hoten lekin Wazeer-e-Azam Modi ne Trump ke Namaste Trump ke chakkar mein sab barbad kar diya. Marathwada ke apne 2 roza dora ke ekhtataam par aaj Aurangabad mein Maharashtra reyasti Waqf Board Office mein munaqidah ek Press Conference mein unhoun ne yeh tanqeed ki.

Wazeer auqaaf Nawab Mulk ne Press conference mein auqaaf se mutaliq mukhtalif umoor par tafseel se maloomat dete hue yeh ahem elaan bhi kiya ke Maharashtra reyasti waqf ke sadar daftar ko Mumbai muntaqil karne ka faisla kiya gaya hai aur jald hi yeh Mumbai muntaqil kar diya jaye ga, Taham unhoun ne yeh wazahat ki ke Aurangabad Division ke liye Marathwada ka ilaqai daftar Aurangabad mein hi rahay ga.

Nawab Mulk ne aitraaf kiya ke waqf Board mein kaam kaaj ka tareeqa etmenan bakhash nahi hai aur is mein tabdeeli ki zaroorat hai. Ebteda mein hi is baat ko qubool karte hue unhoun ne kaha ke yahan kisi ko kisi baat ka pata nahi, Kitna kaam baqi hai, Kisi ko kuch nahi maloom. 2012 se zair eltewa kamon ka Graph badhta hi ja raha hai. Unkay wazeer banay ke baad is silsilay mein kuch misbet pesh raft ki koshish ki gayi lekin corona ke baais is mein koi khaterkhah kamyabi nahi mil saki aur is douran sirf 1623 mamlaat ki hal kiye ja sakay. Nawab Mulk ne yeh bhi kaha ke waqf board ke tamam record ko mehfooz karne ke liye Digitalize kiya ja raha hai jis se umeed hai ke tamam records mehfooz ho jaien ge.