Hyderabad: Guzashta chand dinon se saari duniya mein corona teeka lainay aur uski manfi aur misbet khabron ko awliyat aur tarjeeh di jarahi hai jabkay har mulk ka bashindah –apne mulk ke sadar, wazeer-e-azam aur khaas kar arab mumalik ka media sab se pehlay corona ka teeka lainay ki khabar aur tasweer ko kaafi ahmiyat ke sath shaya kar chuka hai. Har mulk apne hukmaran ko teeka letay hue tasweer ko is liye shaya kiya hai taakay awam ko is tasweer se ek hosla miley.
Saari duniya ke awam jahan -apne hukmaran ki teeka lete hue tasweer social media par kaafi josh wa-kharosh se gardish karwarhe hain media wahein hindustani social media par awam Wazeer-e-Azam Narendra Modi ki corona teeka se khud ko door rakhnay ki khabar ko tanzia andaaz mein paish kar rahay hain kyunkay 16 January ko jab Hindustan mein corona teeka andazi ka aaghaz hua to Modi riwayati tor par bhashan dekar manzar se gayab hogaye hain jiske baad un par siyasi qaideen aur awam ki janib se kaafi tanz kiya ja raha hai ke Modi ne corona ka teeka knyu nahi liya.
Darin asna congress ke senior rehnuma aur UP ke sabiq rukan qanoon saaz Pradeep Mathur ne kaha ke behtar hota agar Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne teekay laganay ke pehlay din coronavirus se bachao ki vaccine li hoti, jisse awam mein etemad paeda hota. Behtar hota agar Wazeer-e -Azam Narendra Modi America ke sadar muntakhib honay walay joe biden ki tarhan ki ek misaal qaim karte aur khud hi vaccine lagwate. Vaccine liye kardah mulk ke logon mein etemaad paeda karte.
Is ke alawa kayi ek siyasi leadron ne Modi ko corona teeka se khud ko door rakhnay par tanqeed ka nishana banaya hai jabkay social media par is waqea ke baad kayi tarhan ke sawal uthaye jarahay hain. kayi sarfeen ne kaha ke kiya Modi ko teeka par bharosa nahi hai ya phir Modi teeka lainay se dar rahay hain?