Friday, May 3, 2024
HomeIndiaModi maeeshat ki soorat e haal par apni khamoshi toden: Congress

Modi maeeshat ki soorat e haal par apni khamoshi toden: Congress

New Delhi: Congress ne kaha hai ke Stock Market mein sarmaya karoun ke 18 lakh crore rupay doob gaye hain, Rupiya Record nichli satah par agaya hai aur maeeshat bad haal hai lekin wazeer e azam Narendra Modi aur wazeer e khazana Nirmala Sitharaman khamoshi ikhtiyar kiye hain. Congress mawaslati mehakma ke sarbarah Randeep Singh Surjewala ne yahan Parliament House ke ihatay mein Media numaindoun se guftagu karte huve kaha ke mulk ki maeeshat ki haalat kaafi kharab hai lekin herat ki baat ye hai ke Modi aur Sitaraman is baray mein khamosh hain.

Unhoun ne kaha ke Stock Market aaj 2700 Points gir gaya aur sarmaya karoun ke 11 lakh crore rupay doob gaye. Azaadi ke baad mulk ke sarmaya karoun ke liye ye sab se siyah din hai. Stock Market mein is giravat ka barah e raast nuqsaan un chhootey chhootey sarmaya karunga hoga jin ke pesey Market mein lagey huve hain. 2 din pehlay bazaar 2400 points gira aur phir sarmaya karoun ka bazaar mein 7 lakh Crore rupay doobey they.

 Tarjuman ne kaha ke rupiya aaj sab se nichale satah par pahonch gaya hai. Dollar ke muqablay rupay mein ye Record giravat hai. Sarkari shobay ke State Bank Of India mein 44 Crore 51 lakh Account Holders ke bachat Bank khatay par sood 3.5 feesad se kam karkay 3 feesad kar diya hai. Is se aam khatah daaroun ko 2700 Crore rupay salana ka nuqsaan hoga. Un ka ilzaam tha ke is pesey se SBI ko Yes Bank ku khareedna hai. Yes Bank se Modi ke qareebi logoun ko karzz diya gaya jo doob gaya hai. Is ki bharpayi awam ke pesey se karne ki tayari hai.

Unhoun ne kaha ke herat ki baat ye hai ke Petrol aur Diesel ki qeematein hukoomat kam nahi kar rahi hai jabkay khaam tail ke daam bain ul aqwami bazarmin 32 se Dollars 35 fi Barrel hai. Unhoun ne kaha ke November 2004 mein khaam tail ki qeemat 35 Dollar fi Barrel thi to is waqt mulk mein Petrol ki qeemat 35.85 pesey fi Letter thi lekin aaj Petrol 70.79 fi Letter hai. Aam sarfeen ka nuqsaan ho raha hai isi terhan se 2004 mein Diesel 26.28 paisa tha jo aaj 65 rupay hogaya hai yani hukoomat 38.79 apni jaib mein daal rahi hai. –YTN STAFF