New Delhi : Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne National Democratic Alliance ( NDA ) ke no muntakhib arkaan se khitaab karte hue aqilitoun ka Etemad jeetnay ki zaroorat par zor diya aur ilzaam aed kiya ke oppostion jamaten vote bank ki siyasat karti hain aur unhon ne hi aqliton ko khauf wo haraas mein rehne par majaboor kiya.
Modi ne kaha ke mulk ke ghareebon ke sath jo dhoka kiya gaya wohi dhoka aqliton ke sath bhi kiya gaya lekin ab unke Etemaad ko jeetnay, is dhokay ko khatam karne aur sab ko taraqqi ke rastay par le jane ki zaroorat hai. Modi ne mazeed kaha ke behtar hota ke aqliton ki taleem par tavajja di jati, behtar hota ke unke darmiyan se hi samaji wo siyasi qaid paeda hotay aur unki samaji wo iqtisadi taraqqi isi raftaar se hoti jis raftaar se doosri bradariyoun ki hoti hai .
Unke is bayan par mutadid sarkardah shaksiaat ne radd-e-amal zahir kiya hai. unke mutabiq suneney mein to yeh battain bohat achi hain lekin guzashta 5 barson mein Modi hukoomat ke iqdamaat iske baraks rahay hain. Ek Maroof THINK TANK CENTER FOR STUDIES OF DEVELOPING SOCIETY ( S S D S ) mein assistant professor Halal Ahmed ne kaha ke hamein is bayan ko misbet andaaz mein lena chahiye lekin unhon ne yeh bhi kaha ke guzashta paanch barson mein hukoomat karne ka Modi ka record bohat kharab raha hai.
Agar hum 2002 ke Gujrat fasadaat ko dekhen to is waqt bhi unka record bohat kharab tha. fasadaat ko agar hum hindu muslim fasaad ke tor par nah bhi dekhen tab bhi hum yeh keh sakte hain ke is waqt bhi unka hukoomat karne ka record kharab raha. ba-hasiat muntazim woh nakaam rahay. jis tarhan hujhoom ki siyasat shuru hui aur musalmanoun ko pakar pakar kar mara gaya to yeh bhi hukoomat ki nakami hai. yeh jo khauf ka mahol hai usay khatam karne ki zimmedaari hukoomat ki hoti hai lekin is ne pichlle paanch barson mein is ke liye kuch nahi kiya .
Halal Ahmed ke mutabiq 52-1950 mein musalmanoun mein khauf wo haraas ka jo mahol tha wohi wapas aa gaya hai lekin is waqt hukoomat is mahol ko khatam karne ki koshish karti thi aur aaj is ki hosla afzai ki jati hai. All India muslim majlis mushawarat ke sadar Naveed Hamid ne media se baat karte hue kaha ke Modi ko musalmanoun ka naam lainay mein bhi takalluf hai. woh aqliat keh kar agay nikal jatay hain. Modi aqlitoun ki taleemi taraqqi ki baat karte hain lekin Aligarh muslim university ho ya jamea maliya islamia ya phir dosray taleemi idaray, yeh hukoomat un tamam ke khilaaf rahi hai .
Is ne Supreme Court mein muslim university aur Jamia milliya islamia ke aqliati kirdaar ko challenge kar rakha hai to phir kaisay samajh liya jaye ke woh aqliton ki taleemi taraqqi ke haami hain.
Delhi congress ke secretary aur Supreme Court ke wakeel Sarfraz Ahmed Siddiqui sawal karte hain ke guzashta paanch barson mein haugume tashadud aur gaaye ke tahaffuz ke naam par musalmanoun mein khauf wo haraas kis ne peda kiya Wazeer-e-Azam Modi ne gaaye ke tahaffuz ke naam par qatal ke waqeat par khamoshi ikhtiyar kar ke sharpasandon ki hosla afzai ki hai . –YTN STAFF