Saturday, July 5, 2025
HomeIndiaModi ko benaqaab karne walay sabiq IPS Sanjiv Bhatt girftar

Modi ko benaqaab karne walay sabiq IPS Sanjiv Bhatt girftar

Gujrat ke sabiq IPS Officer Mr. Sanjiv Bhatt ko aaj subah Gujrat Police CID (Crime) ne 1996 ke aik case mein girftar kar liya hai. Yeh wohi Jarry IPS Afsar hain jinhon ne Mulk ki sab se taaqatwar shakhsiyat ke khilaaf watan ko ma baad Godhra fasadaat ke talluq se sachaai batane uth khaday huwe thae. Inhen Banskantha Police ki janib se 1996 mein darj manshiat ke aik muqadma ke silsila mein girftar kiya gaya jis waqt woh wahan Superintendent of Police thae. Gujrat High Court ki January mein di gayi aik hidayat par Gujrat CID ne is muqadma ki tahaqeeq ki hai. Mr. Bhatt ke alawa deegar kayi Police ohdedaron se pooch gach ki jarahi hai. Mr. Bhatt aur deegar ki giraftari ki touseeq ke alawa CID is masla par koi tabserah nahi kar rahi hai. January mein Higch Court ne CID(Crime) ko hidayat di thi ke 1996 mein darj kardah aik FIR ki tayhaqeeq kere jis mein Rajasthan ke aik wakeel ke khilaaf mobayyana taur par 1.5 kg  narcotics rakhnay par aik muqadma darj kiya gaya tha. Iss case mein Gujrat High Court ke sabiq Judge Ramanlal Jain bhi mulawis thae. Case ki tafseelaat ke mutabiq Palanpur mein Lajwanti City Hotel ke aik kamrah se manshiat bar aamad huwe thi aur Police ne Sameer Singh Raj Purohit nami aik wakeel ke khilaaf yeh id-daa karte huwe muqadma darj karliya tha ke un ke qabza mein manshiat payi gayeen. Taham baad azan Rajasthan Police ne yeh id-daa kiya ke Raj Purohit ko mobayyana taur par Rajasthan ke Pali mein un ke ghar se aghwaa kiya gaya aur Banskuntha Police ki janib se manshiat ka parcel rakha gaya.

Taaqatwar siyasatdanon ke khilaaf aawaz uthany ki Sanjiv Bhatt ko badi qeematein chukani padi. Unhen ibteda mein be dast o paa karne ke liye farzi muqadmaat mein phansaya gaya. Unhen kayi Commissions aur courts mein apna bayan darj karwatay rehna pada. Aur phir markazi wizarat e Dakhila ne unhen August 2015 mein yeh kehte huwe mulazimat se barkhast kardiya ke woh duty se ghair haazir rahay hain, halaan ke woh uss douran Nanavati Commission ke rubaru apna bayan qalamband karwa rahay thae. Un ki 27 sala khidmaat ke bawajood badteenat hukoomat ne baghair wazifa ya gratuity ke mulazmat se be dakhal kardiya. Haal hi mein hukoomat ne haqeer security cover se dastbardari ikhtiyar karli jo unhen aur un ki family ko farhaam kiya gaya tha. Yahan tak hi iktafa nahi kya gaya balkay Ahmedabad Muncipal Corporation ne ghair majaz tamirat ke jurmane ke taur par un ki khandani rahaish gaah ka kitchen aur Bathroom munhadim kardiya, halaank un ki darkhwast Superem Court mein zair iltewa hai. Jis waqt Godhra saneha paish aaya tha uss waqt Sanjiv Bhatt State Intelligence Ggandhi Nagar mein Deputy Commissioner Incharge of Internal Security thae. Is saneha ke douran jis mein aik hazaar se zayed musalmanoon ka qatal huwa tha, beshtar police ohdedar khamooshi ikhtiyar karne mein apni aafiat mehsoos ki thi magar Sanjiv Bhatt ne farz shanasi ka behtareen muzahira karte huwe be khauf apne faraiz anjaam diye aur intelligence se imkani fasadaat ke baaray mein apni reports paish karte rahay. Rukn Parliament Ahsan Jaffri ki bewa Zakia Jaffri ki janib se darj karwai gayi shikayat mein Sanjiv Bhatt ki bheji gayeen advisories ko ahem shahadat ke taur par paish kiya tha. Sanjiv Bhatt ne natayej ki parwah kiye baghair na sirf Zakia Jafferi ki darj kardah shikayat ki tehaqeeq karne wali SIT ke rubaroo apna bayan qalamband karwaya balkay 2002 ke qatal e aam mein riyasati nazam o nasq machinery  ke role ko be naqaab karte huwe aur taaqatwar mulzimeen bashmool uss waqt ke Chief Minister Gujrat Narendr Modi ko bachanay SIT ki koshishon ko aashkaar karte huwe Superem Court mein aik mufasil halaf nama bhi daakhil kiya tha. Superem Court mein Sanjiv Bhatt ke daakhil kardah halaf nama mein wazeh taur par uss waqt ke Chief Minister Gujrat Narendra Modi ke role ko be naqaab kiya gaya tha jinhon ne aala Police ohdedaron koh hidayat di thi ke Hindus ko apni barhami ka izhaar karne ka khula mauqa faraham kiya jaye. Bad qismati se Superem Court ki janib se muqarrar kardah khusoosi Special Investigation Team ne un ke ilzamaat ko mustard kardiya aur Narendr Modi aur riyasat ke deegar taaqatwar siyasatdanon ko Clean Chit dete huwe case ko band kardainay ki report daakhil kar di. Is closer report ko Gujrat ki aik adalat mein challenge kiya gaya hai aur Sanjiv Bhatt hanooz aik ahem gawah hain. Sanjiv Bhatt ne Superem Court mein halaf nama daakhil karne ke ilawa justice Nanavati Commission aur qaumi aqliati Commission ke rubaroo halfia bayanaat diye.