Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaModi ko bal akhir Ramadan aur Virus ke mauqa par Musalman yaad...

Modi ko bal akhir Ramadan aur Virus ke mauqa par Musalman yaad aagaye

New Delhi: Wazeer e Azam Narendra Modi ne Coronavirus ki wajah se shayad pehli martaba Ramadan ke mauqa par awam ko Mubarakbaad pesh ki. Modi ne Hindustan mein Ramadan ke aaghaz par Twit karte huve Musalmanoun ko Mubarak baad dainay ke alawa is umeed ka bhi izhaar kiya is waqt Hindustan mein jo waba coronavirus ki chal rahi hai is se Hindustan lak kar kamyabi haasil kerega. Modi ne Twit kiya. Ramadan Mubarak! mein har ek ki hifazat aur khushhali ke liye dua go hon. Ye muqaddas maheena apne sath shafqat, Hum ahangi aur hamdardi ki farawani laaye. Hum COVID-19 ke khilaaf jari jung mein faisla kin fatah haasil karen aur ek sahet mand mulk tashkeel den. Unhoun ne mazeed kaha ke Ramadan roza rakhnay aur namazoun ka maheena, Aaj se baaz maqamat par manaya ja raha hai. Ramadan ke aaghaz ka faisla chaand dekhnay ke mutabiq kiya gaya hai. –YTN STAFF