Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaModi ki raah mein 3 khawateen haail

Modi ki raah mein 3 khawateen haail

New Delhi : Hindustan mein 11 April taa 19 May tak 7 marahil mein parlimani intikhabaat munaqqid ho rahay hain lekin wazeer-e-azam Narendra  Modi   ke liye doosri martaba intikhabaat mein kamyabi ke rastay mein chand hareef aur maaroof  khawateen rukawat ban sakti hain. awaami satah par maqbool aur aindah intikhabaat mein hissa lainay wali khawateen mein Mamta Benerjee , Mayawati aur Priyanka gandhi woh naam hain jo Modi   ke liye nakami ka sabab ban sakti hain .

2011 usay Maghribi Bangal ki baag dod Mamta Benerjee  ke hathon mein hai aur woh awaami satah par intahi maqbool bhi hain. sabiq wifaqi wazeer railway Di Di yani badi behan ke naam se bhi jani jati hain. unka talluq ALL INDIA Trinamool Congress party se hai.

64 sala mamta Benerjee  ka naam Narendra  Modi ke sakht tareen naqideen mein shaamil hota hai, woh hukoomat mukhalif ittehaad bananay mein bhi sargaram rahi hain. Hindustan ki riyasat maghribi bangal ki abadi Germany se bhi ziyada hai. siyasi mahireen ke mutabiq mamta Benerjee  awam mein bohat ziyada maqbool hain aur woh agar intikhabaat mein kamyaab hoti hain to hukoomat saazi mein unka ahem kirdaar hoga. is riyasat mein wazeer-e-azam Modi ki qoum parast siyasi jamaat BJP ko behtar karidgi dikhani hogi .

Modi ke liye ahem rukawat mein dosra naam Mayawati  ka hai. sabiq sobai Chief minister aur Bahujan samaaj party ki sarbarah Mayawati  dalit tabqa ki numaindagi kar rahi hain. 63 sala Mayavti’ dalit queen’ yani dalitoun ki rani ke naam se mashhoor hain. Mayawati  ki jamaat samaaj waadi party socialist nazriaat wali siyasi jamaat hai. Uttar pradesh Hindustan mein abadi ke aitbaar se 200 million shehrion ke sath sab se badi riyasat hai. Uttarpradesh mein musalmanoon ki abadi taqreeban athaara feesad hai .

Naqideen Mayawati  par apni zaati khwahisaat ke liye eqdaar ka najaaiz faida uthane aur sarkari khazanay se khud numaishi ka ilzaam lagatay hain. misaal ke tor par Mayawati  ne 2014 mein mobayyana tor par ek sandle ki jodi mangwane ke liye ek niji tayyarah America bhijwaya aur unhoun ne mutadid awaami parks mein apne mujasmay bhi banwaye .
Baaz siyasi mahireen ke khayaal mein Mayawati  makhloot hukoomat bananay mein klidi kirdaar ada kar sakti hain. is martaba Mayawati  ka siyasi agenda ziyada tar BJP ki firqa waranah siyasat par tanqeed ke gird ghoom raha hai .

Modi   ke masail mein ek naya izafah Priyanka gandhi hai. Priyanka gandhi vadra ne rawan baras January mein congress ke platform se amli siyasat mein hissa lainay ka elaan kiya. Congress ki janib se barson inhen amli siyasat mein hissa lainay ki musalsal peshkash ki jati rahi. Congress ka general secretary aur mashriqi utar pardesh ka incharge banaye janay ke baad pehli martaba Priyanka ke Lucknow mein hue road show mein poooray soobay se lakhoon afraad shareek hue, jin mein muslim afraad ki tadaad ouron ke muqablay mein ziyada rahi thi. 47 sala Priyanka gandhi ko khasosan Uttar pradesh mein congress ki numaindagi ko mazboot karne ki zimma daari sonpi gayi hai kyunkay parliment ki kal 543 nishistoun mein sab se ziyada 80 nishistein UP mein hi hain .

Wazeer e Azam Modi  bhi UP ki varansi nishist se rukan parliment hain. Priyanka gandhi ke himayatoun ki nazar mein Priyanka apni dadi Indra Gandhi ke mizaaj se mushabihat rakhti hain. doosri janib siyasi tajzia nigaar samajte hain ke Priyanka gandhi Hindustan ki 170 million musalman abadi ke sath hindu aksariyat ko bhi mutasir kar sakti hain. maazi mein congress ko hindu aksariyat voters ko nazar andaaz karne ke hawalay se bhi tanqeed ka saamna raha hai. ab daykhna yeh hai ke yeh khawateen kis tarha Modi ke liye masail paeda karti hain .- YTN STAFF