Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaModi ke tweets mein mashoor hastiyoun ko kyu tag kiya jata

Modi ke tweets mein mashoor hastiyoun ko kyu tag kiya jata

Hyderabad: Hindustan mein Lok Sabha intikhabaat mein kamyabi ke liye har koi tashheer ka sahara le raha hai aur is muamlay mein bhi wazeer e azam Narendra Modi sab se agay nikal chuke hain – tashheer ke douran Modi social media ka khoob istemaal kar rahay hain. Modi –apne posts mein mashhoor wo Maroof hastiyoun ka tazkara bhi karte hain. jahan tak apne tweets mein logon ko tag karne ka maamla hai to is ke barey mein haqayiq samnay aaye hain woh aisa is liye karte hain taakay unka tweets sziyada se ziyada sarfeen tak poanch sakay , apne tag mein Modi kayi filmi hastiyoun, cricket khiladiyoun aur Maroof Athelets ko nishana banaya hua hai.

michigan university ke assistant professor ne feb 2009 taa october 2015 ke darmiyan Modi ke tweets ka tajzia kiya hai. is mein 9000 se ziyada tweets shaamil hain. Modi 2009 mein twitter ke Sarif banay aur october 2012 tak un ke 10 laakh se ziyada follower hogay. fil haal unhein 4. 6 crore sarfeen follow karte hain .

Professor  ne apni report mein inkishaaf kiya hai ke kayi filmoun mein leadroun aur intizamia ko 2002 ke gujrat fasadaat ke qusoorwar ki shakal mein dekhaya gaya hai. Professor mantay hain ke siyasat mein Modi ka qad badhne ke sath hi Hindustan mein social media ka istemaal ziyada honay laga. isi wajah se social media par moujood sarfeen tak pohanch bananay ke liye intikhabaat ke douran aur is ke baad ke posts mein mashhoor hastiyoun ka tazkara khoob kiyagaya .

Tahaqeeq ke mutabiq Modi ne apne 414 tweets mein mashhoor hastiyoun ka tazkara kiya. kayi tweets mein to un hastiyon ko tagbhi kiya gaya. Professor ke mutabiq guzishta 6 saal mein Modi ke tweets par tahaqeeq kar ke unhoun ne yeh nateeja akhaz kiya hai ke Wazeer-e-Azam ne teen alag alag marahil ka istemaal kiya hai. Modi ne apne tag mein jin bollywood adakaroun ko mukhatib kiya hai un mein Hritik Roshan, Madhuri Dixit , Ajay Devgan Anil Kapoor qabil-e- zikar hai jabkay cricketers mein Shekhar dhawan , Bhuvnewshwar Kumar aur R.Ashwin ke naam numaya hain .