New Delhi : Supreme court ne intikhabi Zabta-e-akhlaq ki mubayyana khilaaf warzi ke maamla mein wazeer-e-azam Narendra Modi aur BJP ke sadar Amit Shah ke khilaaf samaat se inkar kardiya. Congress rukan-e-parliment Sushmita Dev ne dono ke khilaaf intikhabi Zabta-e-akhlaq ki khilaaf warzi ke maamla mein intikhabi commission ki taraf se karwai nah kiye jany ki shikayat ki thi. chief justice Ranjan Gogoi aur justice Deepak Gupta ki bench ne yeh kehte hue Sushmita Dev ki arzi kharij kar di ke adalat intikhabi commission ki taraf se jari hukum ki achhai ya kharabi ki jaanch nahi kar sakti. commission ne Modi aur amit Shah ko intikhabi Zabta-e-akhlaq ke ilzamaat mein clean chit daydi hai .
Adalat ne Sushmita Dev ko commission ke hukum ke khilaaf nai arzi dair karne ki hidaayat di hai. bench ne kaha kay intikhabi commission ne intikhabi Zabta-e-akhlaq ke baray mein shikayatoun par sahi ya ghalt faisla kar liya hai. aisi soorat mein un ehkamaat ko challenge karne ke liye nai arzi dair karni hogi .
Doosri janib intikhabi commission ne Uttar pardesh ke Pratapgarh mein intikhabi Rally mein sabiq wazeer e azam Rajiv Gandhi ko bad unwaan number ek qarar dene walay wazeer e azam Narendra Modi ke bayan ke baray mein report talabb karli hai aur maamla abhi uskay zair-e-ghor hai. commission ne Uttar pardesh ke Aala intikhabi officer se Modi ki 6 May ki taqreer ke asal mawaad ki naqal mangi thi aur usay is baray mein poori report mil gayi hai .
Wazeh rahay ke congress ne Modi par is taqreer ke zareya intikhabi Zabta-e-akhlaq ki khilaaf warzi ka ilzaam lagaya tha. Modi ke is bayan par sakht rad-e-amal zaher kiya gaya tha. Congress sadar Rahul Gandhi aur general secretary Priyanka Gandhi ne Modi ke bayan par sakht tanqeed ki thi. aanjhani wazeer-e-azam Rajiv Gandhi ka nam Bo-force ke maamla mein liya gaya tha lekin Dehli High Court ne unhein bari kardiya tha phir bhi Modi ne apni taqreer mein Rajiv Gandhi ko bad unwaan number aik kaha tha . –YTN STAFF