Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaModi ke Black Out ke elaan se barqi mehakma pareshan

Modi ke Black Out ke elaan se barqi mehakma pareshan

New Delhi Coronavirus ke khilaaf jahan duniya bhar ke mukhtalif mumalik mukhtalif aqsam ki koshisho mein masroof hain jabkay tibbi amlah is wabai marz se sahet yab honay ke liye dawa ki tayari mein apni saari slahtin aur tawanayi sirf kar raha hai wahein Hindustan ke Wazeer e Azam Narendra Modi qoum se khitaab ke douran hukoomat ki janib se ki jaaney koshisho ka koi tazkara nahi kar rahay hain balkay awam thaali aur taali bajanay ki hidayat day rahay aur ab unhoun ne qoum se apne taaza tareen khitaab mein itwaar ki raat 9 bajey se leker 9 bajkar 9 minute tak barqi band karte huve is ki jagah mom batii ya bhar chairag chalanay ki hidayat di hai jo aam awam ke liye na qabil feham honay ke alawa barqi muhkah ke ohdedaroun ke liye bhi sar dar ban chuka hai.

Wazeer e Azam Narendra Modi ki qoum se Black Out ki Appeal ney ek naya mauzo chaid diya hai aur wizarat bijli ke ohdedaroun ko heran karne ke alawa ek nai mushkil mein daal diya hai. 5 April ko honay walay waqeye aur is ke nateejay mein pooray mulk mein Black Out karne ke mansoobay ney ek naya masla peda kardiya hai. Kyunkay Modi ki janib se ki jaaney wali Appeal ke baad jab Hindustan bhar mein bijli band kardi jaye gi to tawaqqa ki jarahi hai ke mulk bhar mein bijli ki talabb mein achanak kami aajaygi. Yahan tak ke Grid Frequency mein pareshan kun soorat e haal peda hosakti hai kyunkay Central Electricity Regulatory  ( CER ) ki janib se Hindustan bhar mein barqi ki sarbarahi ki ek miqdaar ka silsila barqarar rakha jata hai aur achanak saaray mukl mein barqi band karne se is miqdaar ke miyaar ko barqarar rakhna mushkil hojata hai aur achanak is terhan barqi band honay se barqi ki sarbarahi ka silsila achanak se ger jayega. Is zimn mein barqi shoba ke markazi wazeer ne ek ijlaas bhi talabb kiya tha taakay 5 April ke is Black Out se honay walay maslay ka hal talaash kiya jasakay. –YTN STAFF