Monday, May 20, 2024
HomeIndiaModi ka Uttar pradesh sadak haadsay par afsos

Modi ka Uttar pradesh sadak haadsay par afsos

New Delhi: Wazeer-e-Azam Narendra Modi ney Uttar pradesh mein Kannauj ke chabra thaana ilaqay mein shadeed kuhar ki wajah se paish aaye zabardast sadak haadsay par ranj ka izhaar kiya aur Mehlookeen ke ahal-e-khanah ke tain gehri taaziyat ki.

Modi ney gham ka izhaar karte hue Tweet kiya ke Uttar pradesh ke Kannauj mein hue zabardast sadak haadsa ke baray mein jaan kar intahi dukh pohancha hai. is haadsay mein bohat se logon ko apni jaan ganwane padi hai. mein Mehlookeen ke ahal-e-khanah ke tain taaziyat ka izhaar karta hon, sath hi zakhmion ki jald sahet yabi ki dua karta hon.

Wazeh rahay ke Uttar pradesh ke Kannauj mein jummay ki shaam truck aur khangi bus ki takkar ke baad aag lagnay se 30 se zayed musafir shadeed tor par jhulas gaye jin mein se 20 afraad ki mout hogayi. chief minister yogi adityanath ney haadsay par dukh ka izhaar karte hue sogwaar khandanoun ke tain taaziyat ki hai. unhoun ney marnay walon ke ahal-e-khanah ko 2-2 laakh rupay aur zakhmion ko fi kis 50 hazaar rupay ki madad ka elaan kiya hai.

Police ney kaha ke ilaqay ke gaon ke qareeb 8 bajey yeh haadsa is waqt pesh aaya jab Farukhabad se Jaipur ja rahi ek khangi sleeper bus aur truck takkar hogayi. takkar ke baad truck mein aag lag gayi aur dekhte hi dekhte Bus bhi iski zad mein aagayi.

Aini shahideen ke mutabiq bus mein sawaar kayi musafiron ney kood kar apni jaan bachaai jabkay kayi aag mein phas gaye. Bus garsaiganj ke ek khangi travel company ki batayi ja rahi hai jo Jaipur ki janib gamzan thi. rastay mein chabhra se bhi bohat sawaryan Bus mein sawaar hui thi. Garshaiganj se Bus 26 kilometer hi chali thi ke chabra se paanch kilometer agay JT road par kuhar ki wajah se samnay se aa rahay truck se iski takra gayi.

Fire brigade ki kayi gadiyon ney mauqa par pohanch kar ghanton ki mushaqqat ke baad aag par qaboo paaya lekin Bus aur truck poori tarhan jal chuke they. haadsay ki wajah se GT road par taweel waqt tak trafic jam hua jo der raat tak jari raha. –YTN STAFF