Saturday, May 10, 2025
HomeIndiaModi Ka Tayyarah Pakistani Fizai Hudood Se Nahi Guzrayga

Modi Ka Tayyarah Pakistani Fizai Hudood Se Nahi Guzrayga

New Delhi : Shanghai taawun tanzeem ( SCO ) ke sarbarahan mumlikat ki chouti conference mein hissa lainay ke liye kargez jamhooria ke dar-ul-hukoomat Bishkek janay ke liye wazeer-e-azam Narendra Modi ka tayyarah Pakistan ke fazai hudood se hokar nahi guzrayga. Wizarat-e-kharja ke tarjuman Ravish kumar nay Modi  ke tayyaray ke rastay ke baray mein media ke salawon ka jawab dete hue kaha ke hukoomat nay Bishkek janay ke liye wazeer-e-azam ke tayyaray ke liye do raastoon ke mutabadil ko talaash kiya tha. unhon nay kaha ke yeh faisla kiya gaya hai ke wazeer-e-azam ka tayyarah Amman , Iran aur wasti asiayi mumalik ke fazai hudood se guzarta hua Bishkek pohanchega .

Islamabad se Eye media report mein kaha gaya tha ke Hindustan nay Modi  ke tayyaray ke Bishkek janay ke liye Pakistan hukoomat se apne fazai hudood se guzarnay ki ijazat talabb ki thi. pehlay wizarat-e-kharja ke ohdedaron nay Modi  ke tayyaray ke rastay par kiye gaye sawalaat ko yeh kehte hue taal diya tha ke wazeer-e-azam ki salamti ke paish-e-nazar safar ka rasta aam nahi kiya ja sakta .

Modi  13 aur 14 June ko Shanghai taawun tanzeem ( SCO ) ke rukan mulkon ke sarbarahan mumlikat ki chouti conference mein hissa lainay ke liye Bishkek rawana honge Jahan unki Rusia ke sadar vladimar Putin aur China ke saddar Xi Jinping ke sath do Tarfah mulaqaat bhi hogi. dono din chouti conference mein hissa lainay ke alawa unka kar gez jamhooria mein do roza doray ka bhi programme hai. Bishkek mein Pakistan ke wazeer-e-azam Imran Khan ke sath rasmi ya ghair rasmi mulaqaat ke imkaan ke baray mein pouchye janay par wizarat-e-kharja nay wazeh kiya ke Modi  ki Pakistani wazeer-e-azam se mulaqaat ka koi programme nahi hai .
-YTN STAFF