Friday, April 26, 2024
HomeIndiaModi ka kisanoun ko muzakraat ka mashwara

Modi ka kisanoun ko muzakraat ka mashwara

New Delhi: Mutanazia zarayi qawaneen ke khilaaf kisanon ka ehtijaj sab par ayaan hai lekin Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne kaha ke hukoomat naye zarayi islahat qawaneen ki mukhalfat kar rahay kisanon se mamlaat aur haqayiq ki bunyad per baat cheet karne ke liye tayyar hai.

Modi ne video conferencing ke zareya kisanoun se khitaab karte hue kaha ke kisanon ke mafaad mein hukoomat mamlaat aur haqayiq ki bunyaad par muzakraat ke liye tayyar hai. Modi ne kaha ke hukoomat kisanon ki taraqqi ke liye waqf hai taham naye qawaneen se hindostan ek khud Mulk ban jayega. Unhon ne kaha ke hukoomat ko jamhoriat par mukammal etemad hai aur naye zarayi qawaneen ko haqayiq ki bunyaad par par rakha jasakta hai.

Wazeer-e-Azam ne kaha ke is se qabal kayi jamaten zarayi aslahat ke qawaneen ke haq mein theen lekin aaj woh is se peechay hatt gayeen aur siyasi wujuhaat ki bina per kisanoun ko gumrah kar rahi hain. Pehlay kisaan kam azkam imdadi qeemat (MSP) ki zamanat ki maang kar rahay thay lekin ab woh tashadud ke mulzimon ko jail se riha karne aur tool tax ki mukhalfat karne mein masroof hain. Hukoomat un afraad se bhi muzakraat ke liye tayyar hai jo jamhoriat par yaqeen nahi rakhtay aur jo log be ghalat ilzamaat aaed karte hain.

Wazeer-e-Azam Modi ne kaha ke jamhoori nizaam mein awam ki janib se mustard kiye gaye log kisanon ki ek tadaad ko gumraah kar rahay hain aur hukoomat ke sath muzakraat honay nahi day rahay hain. Naye zarayi qawaneen ke baad bhi MSP mein izafah kiya gaya hai aur fasloun ki record kharidari ki gayi hai. Modi ne kaha ke Mulk ki tamam reyaston ke kisaan Wazeer-e-Azam kisan Yujana ka faida utha rahay hain, sirf maghribi bangal mein siyasi wajohaat ki wajah se kisanon ko isse faida uthane ki ijazat nahi di jarahi.