Hyderabad : BJP hukoomat ne Narendra Modi ka chehra manzar-e-aam par paish karte hue kayi ek Schemes muta-arif karne ke kaafi behtareen tareeqa-car ikhtiyar kiye hain lekin Modi ki janib se muta-arif kardah Schemes mein aksar har manzar aur pas manzar mein kaafi bara tazaad raha hai yahi wajah hai ke Modi ki janib se digital India ki jo muhim chalaye gayi aur hindustaniyon ko yeh batanay ki koshish ki gayi ke Hindustan digital duniya mein kaafi tezi se taraqqi kar raha hai yeh bhi ek safaid jhoot hi raha kyunkay digital duniya ka sahara Modi ne intikhabaat mein apni kamyabi ke liye hi istemaal Kiya hai yahi wajah hai ke log sab intikhabaat ke khatam hotay hi Namo TV ke alawa woh digital India se mutaliq kayi deegar sargarmia bhi maand padh gayin. jis mein mein TV ke sath social ki sahuliyaat bhi qabil-e-zikar hain .
Lok sabha intikhab shuru honay se theek pehlay 26 March ko mutaarif kardah mutanazia Namo TV ab TV set se gayab ho chuka hai. Bhartia janata party ke zaraye ne kaha hai ke yeh channel 17 May ko tab band ho gaya jab lok sabha intikhabaat ke tamam marahil ke liye tashiri muhim band ho gayi. is tarha sirf aakhri marhalay ke intikhab ke douran BJP ke is channel ne qanooni usoolon par amal karte hue raye dahindgi khatam honay se 48 ghantay pehlay TV par siyasat se mutaliq koi ishtihar nahi dekhaya. naam khufia rakhnay ki shart par ek BJP rehnuma ne kaha, Namo TV lok sabha intikhabaat ke liye BJP ki tashiri muhim ka hissa tha. intikhab khatam honay ke baad is ki koi zaroorat nahi thi is liye jab intikhabi tashheer khatam ho gaye tab 17 May se yeh bhi band ho gaya .
Digital India ka pehla baab yahan Modi ke liye shuru hokar Modi par hi khatam hogaya. wazeh rahay ke Tata Sky, Videocon aur Dish TV jaisay DTH operator Namo TV ko muft mein dikha rahay they. wahein oppostion ne is propogandah machine batatay hue tanqeed ki thi. Election Commission mein kayi shikayatoon ke baad bhi channel, BJP ya Wazeer e Azam Narendra Modi ke khilaaf koi karwai nahi ki gayi. darasal, Namo app ke maalik Wazeer e Azam Modi hi hain aur BJP ke zariye kaha gaya ke Namo TV isi ka hissa hai. wahein shuruvaat mein apne tweet mein Namo TV ko ek hindi news channel batanay walay tata sky ne baad mein apni muaqqaf se inhiraf karte hue channel ko special service qarar diya .
Haal hi mein Dehli ke cheif election officer ne bhi BJP ko chhatay marhalay ki raye dahi se ain qabal tashheer band honay ke baad bhi Namo TV per inteqaab se mutaliq mawaad Nashar karne ke liye notice rawana Kiya tha. April mein Election Commission ne hidaayat di thi ke Namo TV par record kiye gaye programon ko Nashar karne se pehlay tasdeeq Kiya jaye jis ke baad Dehli Election Commission ne BJP ko Namo TV par koi bhi programme is ki tasdeeq ke baghair Nashar nahi karne ki hidaayat di thi. 11 April ke election commission ki Hidayat ke mutabiq,’ yeh commission ki ilm mein laya gaya hai ke Namo TV DTH operators ke zariye BJP ko faraham Kiya gaya ek platform service hai jis ki adaigi ki ja rahi hai. is electronic media par mutaliqa authority se zurori tasdeeq ke baghair numayesh ki ja rahi kisi bhi siyasi tashiri mawaad ko foran hata diya jaye aur kisi bhi siyasi mawaad ko sirf Election Commission ki hidayton ke mutabiq ijazat di jayegi. wahein Namo TV ke zariye NSS. 6 satellite ke istemaal karne par hindustani nashriyat qanoon par bhi sawal utha tha .
Awaami tor par mojood jankari ke mutabiq Wazeer e Azam ki tashheer ke liye istemaal Kiya ja raha channel bina kisi licence ke satellite ka istemaal apne signal ko bhejnay aur haasil karne ke liye istemaal karta tha. halaanke is douran ABP news channel par Wazeer e Azam Narendra Modi ne kaha tha ke woh khud Namo TV nahi dekhte hain lekin jis din channel lanch hua tha isi din Wazeer e Azam ne khud is ko tweet Kiya tha. congress saddar Rahul gandhi ne tweet karte hue channel ke liye Election Commission ke zareya ki ja rahi janibdari par sawal uthaya tha. unhon ne kaha tha intikhabi ikrarnama aur EVM se le kar intikhab ke programme mein chedh chadh tak Namo TV Modi’s army aur ab Kedarnath ke drama tak election commission ka Modi aur unke gang ke samnay supurdagi saaray hindustaniyoun ke samnay zahir hai. Election Commission ka dar rehta tha aur is ki izzat hoti thi. ab nahi raha .
Qabil-e-zikar hai ke awaami numaindagi qanoon ki dafaa 126 ke tehat intikhabi tashheer band rehne ke douran usoolon ki khilaaf warzi karna ek qabil saza jurm hai. Namo TV ke alawa Narendra Modi ke naam se se mobile app bhi muta-arif Kiya gaya tha. 2019 mein muta-arif kardah yeh app dekhte hi dekhte awam mein maqbool hua jisay 10 million se zayed martaba download Kiya gaya is ke baad social media par bhi bhi Modi chaaye rahay kyunkay tweeter par Amrici saddar Donald trump ke baad sab se ziyada follow kiye janay walay siyasi qaed Modi rahay. Amrici saddar Donald trump aur sabiq sadar Barack Obama hi twitter par par Modi ko shikast dainay mein kamyaab rahay jabkay oppostion leader sadar congress Rahul gandhi ko twitter par par follow karne walon ki tadaad 9 million hai to Modi ko follow karne walon ki tadaad 46 million se bhi ziyada hai .
Is ke alawa Facebook par bhi Modi ki maqboliat ko sab se agay le janay mein koi kasar nahi choadi gayi aur woh is waqt Facebook par duniya ke maqbool tareen qaideen mein shaamil hain. BJP IT cell ke sadar Amit ne Modi ko Facebook par duniya ka maqbool tareen siyasi qaied bananay mein apni tamam tar tawa naiya sirf kardi hain. Twitter aur Facebook ke baad har hindustani ke haath mein mobile ke zariye aasani se rasai ka zareya Whatsapp hai is ko bhi Modi ki maqboliat ke liye digital India ke naam par istemaal Kiya gaya .
2019 ke intikhabaat ke liye Whatsapp par khoob tashreeh ki gayi. Modi ki tashreeh ke liye whatsapp ka kis tarha istemaal hua is ka andaza 2018 mein karnatak ke assembly intikhabaat ke douran un BJP kaarkunon ne whatsapp par 23 hazaar se 25 hazaar ke darmiyan Whatsapp groups banaye they taakay Modi ki tofani andaaz mein tashheer ki ja sakay. April 2019 mein election commission ne awaami channel Doordarshan ki sarznish bhi ki thi kyunkay is ne BJP ko congress ke baraks do guna ziyada tashheer ka mauqa faraham Kiya tha. is ke alawa Narendra Modi ki zindagi par bani film ko bhi release karne ki tayari ki gayi thi lekin Supreme court ne is par intikhabaat ke nataij tak rok laga diya tha. film par rok ke bawajood web series ke das appy sod Nashar kiye gaye jo ke digital India ke naam par Modi ki online tashheer ka ek aur saboot hai. Modi ne apni taqreeban har awaami tqarib mein digital India ka sapna jaisay jumlay baar baar duhraey jo darasal intikhabaat mein digital India ke naam par Modi ki intikhabi muhim aur tashheer thi .-YTN STAFF