Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsModi Ka Budget Telangana Ke Liye Mayoos Kan

Modi Ka Budget Telangana Ke Liye Mayoos Kan

Hyderabad: Markazi wazeer Nirmala seetharaman ki janib se guzishta roz parliament mein pesh kardah budget ko awam ke liye mayoos kin maana ja raha hai aur ab Hindustan ki nai riyasat Telangana ke liye bhi mayoos kin maana ja raha hai. TRS ke karguzar sadar ke KTR ne markazi budget ko Telangana ke liye mayoos kan qarar diya hai. unhoun ne kaha kay muashi survey ne Telangana ke iqdamaat ki sataish ki taham wazeer finance Nirmala seetharaman ne taawun ke liye riyasat Telangana ki darkhwastoun ko mukammal tour par nazar andaz kardiya.

KTR ne apne silsila waar tweets mein is budget par nuqta cheeni ki. KTR ne kaha ke Niyoti aayog ne talaboun ko bahaal karne aur unke ahiyaa ke liye Telangana hukoomat ki janib se shuru kardah mission Kakatiya scheme aur har ghar peenay ke pani ki sarbarahi ke liye shuru kardah mission bhagiratha scheme ki sataish karte hue hukoomat hind se sifarish ki thi ke Telangana ki un do schemes ke liye 24,000 crore rupiye mukhtas kiye jayen taham haeran kan hai ke wazeeer finance ne un do schemes ko nazar andaz kardiya.

KTR ne apne ek aur tweet mein kaha kay Telangana riyasat ne mutadid martaba Kaleshwaram project ya phir Palmur lift irrigation project ko qaumi darjah dainay ka mutalba mukhtalif forums may kia hai taham iska bhi budget mein koi tazkara nahi kiya gaya. unhon ne sawal kiya ke aaya Telangana ke project wazeer finance ki dilchaspi mein shaamil nahi hain, unhon ne ek aur tweet mein kaha ke Telangana riyasat ki tashkeel ke 5 baras ke bawajood bhi AP tanzeem nou qanoon mein kiye gay wadon ka koi tazkara nahi kiya gaya, nah hi Barrom steel planet, Warangal mein railway coach factory aur tribal university ka koi bhi zikar is budget mein kiya gaya hai.

Isi tarhan ki kyun be parwai Telangana se kyun ki gayi hai? mister Rao ne kaha kay Telangana ke liye teen ahem shoba jaat life science and pharma, IT aur textiles ko bhi nazar andaaz kiya gaya hai. Kakatiya mega textiles park ke liye koi imdaad nahi ki gayi hai aur yahan tak ke Hyderabad ke liye ITIR ka bhi zikar nahi kiya gaya. dawasazi aur life science ke shoba ke liye bhi koi imdaad ka is budget mein elaan nahi kya gaya jiska hyderabad markaz hai.

Nirmala seetharaman ko wazeer-e-azam ke remarks ki yaad dehani karwai jab woh gujrat ke cheif minister thi. unhon ne kaha tha keh petrol aur diesel ki qeematon mein izafah ke nateeja mein tamam hindustaniyoun ke liye zurori ashya ki qeematon mein izafah hojayega. is khusos mein Mr Modi ki janib se 23 May 2012 ko kiye gay tweet ka bhi hawala diya aur iss tweet ko bhi tag kiya. KTR ne apne ek aur tweets mein nishandahi ki ke guzashta saal Telangana ki Rythu Bandhu scheme se jazba paker hukoomat hind ne PM kisaan scheme ka aaghaz kiya tha aura b Telangana ke mission Bhagiratha programme se mutasir hokar har ghar jal Yujana ki shuruvaat ki gayi hai. –YTN STAFF