Friday, April 19, 2024
HomeIndiaModi hukoomat rozgar ke liye nuqsan dah: Rahul Gandhi

Modi hukoomat rozgar ke liye nuqsan dah: Rahul Gandhi

New Dehli: Congress ke sabiq sadar Rahul gandhi ne berozgari ke badhte huwe aadaad o shumaar par tashweesh ka izhar karte huwe markazi hukoomat par shadeed tanqeed ka nishana banaya aur kaha ke rozgar paida karne ke liye koe pehal nahi ho rahi hai aur naujawano ke musataqbil ke silsile mein is hukoomat ka kirdar bohut mayoos kun hain.

Rahul Gandhi ne tweet kiya ke Modi hukoomat rozgar ke liye nuqsan dah hai. Woh kisi bhi khisam ke karobar ya rozgar ko farog ya sahara nahi deti balke jin ke paas mulazimat hai use bhi cheenne lagi hai. Hum watano se khud inhesari ka drama mutawaqqeh hain. Awaami mafad mein jaari unho ne CMIA ki report par mabni ek khabar bhi post ki hai jis mein kaha gaya hain ke is martaba August mein 15 lacks afraad ko mulazimaton se haath dhona pada hai.

Daree asnaa Maharashter Nationalist congress party (NCP) ke chief tarjuman Mahesh tapase ne BJP ki qiyadat wali markazi hukoomat se sawal kiya ke August ke mahine mein 1.5 lacks logon ki mulazimat chali gayi uske liye kaun zimmedar hain. Tapase ne kaha ke center farmanetaring Indian economy ke mutabiq haal hi mein mulk ki be rozgari ki sharah jaari ki gayi hain jis mein taqreeban 8.5 feesad ka izaafa huwa hai.

August mein 1.5 lacks logon ne apni mulazimat khodi hai yeh chaukane wala aadaad o shumaar hai. Unho ne ilzam lagaya ke shuroo se hi markaz ki modi hukumat ki policy ko rozgar dene ke sazgar nahi rahi hai. Tapase ne kaha ke markazi hukoomat par currency par pabandi lagane GST tax nizaam shuroo karne aur sanaet ko matlooba maraat ne dene ki wajeh se mulk mein berozgari badh gayi hain. Unho ne kaha ke Modi ne BJP ke iqtedar mein aane par saal 2 corore logon ko rozgar dene ka wada kiya tha woh rozgar ke mamle mein poori tarha nakaam rahe hai. logon ki rozi roti ka masla hal karne ke ahel nahi hain.