Monday, April 21, 2025
HomeIndiaModi hukoomat ne hindustani maeeshat ko bistar e merg par pohancha diya

Modi hukoomat ne hindustani maeeshat ko bistar e merg par pohancha diya

New Delhi: Wazeer e azam Narendra Modi aur un ki hukoomat ne hindustan mein maeeshat ko bistar merg par phanchadiya hai aur ab bairoze gari ki sharah tareekh ki buland tareen satah par pahonch gayi hai.

IMF ki report ke mutabiq hindustan ki maeeshat is waqt tareekh ki bad tareen sust rawi ka shikaar hai jis ki bahaali ke liye wazeer e azam Narendra Modi ko fori tor par iqdamaat karne honge.

Aalmi maliyati idaray ( IMF ) ki salana report ke mutabiq hindustan ki GDP ki sharah musalsal neechay aa rahi hai, Jo ke kuch arsa qabal teez tareen raftaar ke sath agay badh rahi thi aur Modi hukoomat mein ghair mulki sarmaya kaari bhi ruk gayi hai.

IMF ki Asia and pacific ke rehnuma Ranil ne francesi khabar rasan idaray ko tafseelaat batatay hue kaha hai ke hindustani maeeshat is waqt sust rawi ke darmain mein hai, Jis ko behtar karne ke liye fori tor par iqdamaat karne hon ge.

IMF ne intibah dainay ke andaaz mein kaha hai ke hindustani hukoomat ke paas mojooda karz ki sorat e haal aur sood ki adaigi ke pesh e nazar taraqqi ki himayat mein akhrajaat badhaane ke liye mehdood jagah hai.

Yaad rahay ke is se qabal October mein bhi IMF ne hindustan ki muashi sharah numoo mein 1 feesad kami ki pesh qiyaasi ki thi. Guzashta mah jari ki jaaney wali report ke mutabiq hindustani maeeshat ki sharah numoo 6 saal ki kam tareen satah par aagai, July taa September muashi sharah numoo saadhay 4 feesad rahi.

Report ke mutabiq guzashta saal July taa September hindustani maeeshat ki sharah numoo 7 feesad thi, Rawan saal April se June 2019 mein mulk ki sharah numoo 5 feesad thi. Isi terhan hindustan mein berozgari ki sharah bhi 40 saal ki buland tareen satah par aagai.

Auto Sector mein bhi be intahaa sust rawi aur sarfeen ki qowat khareed mein numaya kami dekhi gayi. Muashi abtari ki wajah se Ludhiana mein cycles aur agrah mein jootay jaisi san-atoun se wabasta ghair munazzam shobay badi tadaad mein band ho chuke hain.

Hindustani maahir muashiaat ke mutabiq 3 barsoun mein hindustan mein berozgari mein izafah huva hai, Mulk mein mulazmeen ki tadaad 45 crore thi jo kam ho kar 41 crore reh gayi hai. –YTN STAFF