Thursday, July 10, 2025
HomeIndiaModi Hukoomat ke khilaaf tehreek adam etemaad ko shikast

Modi Hukoomat ke khilaaf tehreek adam etemaad ko shikast

Tehreek adam etemaad ki tayeed mein 126 aur mukhalfat mein 325 vote. BJD, TRS aur Shiv Sena ke arkaan raye dahi ke mauqa par ewaan mein maujood nahi they.

Narendra Modi naay chaar saal Iqtidaar mein rehne ke baad Telugu Desam Party aur deegar partiyon ki janib se paish kardah tehreek adam etemaad ku arram se shikast dainay mein kamyaab hochuki hai. Din bhar jari mubahis ke baad hui raye dahi mein tehreek adam etemaad ki tayeed mein 126 vote daaley gaye jabkay mukhalfat mein 325 vote daaley gaye. 451 rukni ewaan mein tehreek adam etemaad ko shikast dainay ke liye bar sar e Iqtidaar BJP ko 226 vote darkaar they. Navin Patnaik ki BJD, Telangana ki bar sar e iqteadar TRS aur BJP ki haleef Shiv Sena ney raye dahi mein hissa nahi liya. Tamilnadu ki bar sar e iqtedaar AIADMK ney hukoomat ki tayeed mein vote diya. Raye dahi mein cross voting nahi hui.

Tehreek adam etemaad kya hai?

Tehreek adam etemaad aik rukn Lok Sabha paish karsaktha hai agr woh samjhta hai ke maujuda Hukumat aiwaan mein aksariyat se mahroom hogayi hai
Yeh tehreek Rajya Sabha mein paish nahi ki ja sakti
tehreek adam etemaad paish karne rukan Lok Sabha ko wajoh paish karne ki zaroorat nahi
Speaker Lok Sabha ki janib se tehreek ko qubool karne ke liye kam az kam 50 arkaan ki tayeed zaroori hai
Hukumat ko aiwaan Lok Sabha mein raye dahi mein apni aksariyat saabit karna padta hai basurat e deegar usay mustafi hona padta hai
Azaadi ke baad se ab tak 27 tahrikaat adam etemaad paish kiye ja chukay hain
India- china jung ke fauri baad Acharia Kriplani ney augst 1963 mein pehli tehreek adam etemaad paish ki thi
indra gandhi ney sab se ziyada 15 Tehreekaat e adam etemaad ka saamna kya
Lal Bahadur Shastri aur Narsimha Rao ney teen martaba, Murarji Desai ney do martaba aur Jawahrlal Nehru, Rajiv Gandhi aur Atal Bihari Vajpayee ney aik aik martaba is tehreek ka musbet saamna kya hai
Vajpayee ney Iqtidaar sanbhalne ke baad ewaan mein tehreek etemaad paish karte hue aik vote se haar gaye thay
tamam tehreekaat adam etemaad ko shikast ka saamna karna pada siwaye Murarji  Desai ke khilaaf paish kardah tehreek ke-Unhon ney July 1979 mein tehreek par mubahis ke douran istifa day diya tha
Is se qabal aakhri martaba tehreek adam etemaad 15 baras qabal Vajpayee hukoomat ke khilaaf paish ki gayi thi
teen tehreekaat adam etemaad ke baayes Hukomatain zawaal Pazeer hui theen .
vajpayee hukoomat ke khilaaf 1999 Sonia gandhi ki Tehreek adam etemaad par Vajpayee hukoomat aik vote ke baayes shikast khagyi
H D Deveguda hukoomat ke khilaaf 1997 mein Congress ki tayeed wapas le lainay ke baayes 10 mah ki hukoomat girgaee thi
V P Singh hukoomat 1990 mein tehreek adam etemaad ki hiddat ka saamna ki thi aur 10 November 1990 ko tehreek adam etemaad mein shikast khagyi