Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaModi Hukoomat Ke Khawateen Ko Ba-Iqtiyar Ke Tamam Daaway Khokhle Hi Saabit...

Modi Hukoomat Ke Khawateen Ko Ba-Iqtiyar Ke Tamam Daaway Khokhle Hi Saabit Hue

Hyderabad: Wazer-e-Azam Narendra Modi jo ke apni taqriron mein mulk , awam, taraqqi, technology aur nah jane kin kin mozuaat mein Hindustan ko taraqqi dilwanay walay pehlay Wazeer e Azam ke tor par khud ko paish karne ki koshish karte hain unki yeh koshish zehan ke Derichon aur Adolph Hitler Germany ki tareekh ke kuch pehloo ko roshan karte hain kyunkay hum ne padha tha ke Hitler apne german bashindon se kaha karta tha ke woh hi hai jo kay Germany ko taraqqi ki raah par gamzan ka rsaktha hai aur woh hi Germans ko nijaat dila sakta hai. Modi ke bayanaat bhi bilkul aisay hi hotay hain kyunkay woh samajte hain ke unke baghair Hindustan taraqqi nahi karsaktha aur unkay baghair Hindustan mehfooz nahi hai halaanke unke waday aur Schemes reit ke qilay hi saabit hue hain aur yakke baad deegray unki poll kholti aa rahi hai .

Modi ne Hindustan mein khawateen ko ba-ikhtiar bananay mein kaafi buland wo bang daaway kiye hain lekin haqayiq is ke bilkul baraks hain. Modi hukoomat ne guzashta kuch saal ke douran kayi ahem maamlon mein khawateen ke mafaad ko haerat angaiz tor par nazar andaaz kiya hai. behrani kaifiyat mein mubtala khawateen ki bazabadkari aur madad ke liye ek ahem mansoobah Sudhir girah hai. iske liye saal 17-2016 mein 84 crore rupay mukhtas hue they jisay aindah saal ke budget mein sirf 57 crore rupay kar diya gaya. isi tarha 19-2018 mein is mansoobah ke liye asal budget takhmeenah mein 95 crore rupay ka intizam kiya gaya tha, jisay tarmeem shuda takhmeenah mein 50 crore rupay kardiya gaya. is saal to asal budget takhmeenah mein sirf 50 crore rupay ka hi intizam hai. yani guzashta saal ke budget takhmeenah ke muqablay mein yeh 47 feesad kam hai .

Isi tarha khawateen ke liye help line jaisay be had ahem mansoobah mein sirf 18 crore rupay ka intizam hai. jab ke 17-2016 mein is mansoobah par mehez 1 crore rupay kharch hue, jabke is ke pichle saal 15 crore rupay hi kharch kiye gaye they. khawateen aur ladkiyoun ki traffiking par qadghan laganay ki ahmiyat baar baar dohrai jati hai, lekin yeh sirf taqriron tak hi mehdood nazar aati hai. haqeeqat yeh hai ke is mansoobah (traffiking par qadghn ke mukammal mansoobah ) ke liye saal 19-2018 mein jo 50 crore rupay mukhtas hue they usay baad mein kam kar ke mehez 20 crore rupay kardiya gaya. yani 60 feesad ki takhfeef ki gayi. is saal ke uboori budget takhmeenah mein is ahem mansoobah ke liye 30 crore rupay mukhtas hue jo guzashta saal ke budget se 40 feesad kam hai. beti bachao , beti padhao mansoobah ke baare mein Modi hukoomat ne khud parliment mein qubool kiya hai ke saal 15-2014 ke baad se is mansoobah ka nisf se ziyada budget media mein tashheer par kharch kiya gaya hai. khawateen ki khud mukhtari ke qaumi mission ( Mahela Shakti kendra) ke liye 19-2018 mein 267 crore rupay mukhtas kiye gaye lekin baad mein takhfeef karke tarmeem shuda takhmeenah mein usay mehez 115 crore rupay kar diya gaya. is saal ke uboori budget mein is mission ke liye budget takhmeenah 150 crore rupay hai jo guzashta saal ke budget takhmeenah mein 267 crore rupay se kahin kam hai .

mulazmat pesha khawateen ke liye bohat zurori mansoobah creech scheme mein bhi az sir no tayari ke door mein markazi hukoomat ke budget mein badi takhfeef hui hai. isi tarhan pradhan mantri matri danaon mansoobah ka hukoomat ne ishtihar to khoob kiya hai, lekin talkh haqeeqat yeh hai ke jahan unke liye 19-2018 ke budget takhmeenah mein 2400 crore rupay mukhtas hue they wahein saal 19-2018 ke tarmeem shuda takhmeenah mein usay mehez 1200 crore rupay par mehdood kar diya gaya, yani 50% ki takhfeef ki gayi. bewa pension se mutaliq ahem mansoobah bhi takhfeef ki Nazar ho gaya. saal 15-2014 mein iska budget andaza 3189 crore rupay tha jab ke 20-2019 ke budget andazay mein iske liye mehez 1939 crore rupay ka intizam hai .

yeh tamam haqayiq batatay hain ke Modi ne jahan kalay dhun ki wapsi, har ek hindustani ke khatay mein 15 laakh jama karne aur is tarhan kayi ek sabz baagh dikhate hue Crore hai hindustaniyoun ko Bewaquf banaya hai wahein unhon ne khawateen ke liye mutaarif kardah schemes ki tashheer to bohat ki lekin un schemes ke budget mein har guzarte saal ke sath kami karte hue khawateen ke sath bhi bhada mazaq kiya hai. har scheme ke badalte saal ke nakaam honay ke sath khawateen ko baikhtiar bananay ke tamam tar daaway khokhle saabit hue hain . –YTN STAFF