Monday, April 21, 2025
HomeIndiaModi hukoomat Kashmir mein haqayeq ki parda poshi mein sargaram : Rahul

Modi hukoomat Kashmir mein haqayeq ki parda poshi mein sargaram : Rahul

Jammu wo Kashmir : Opposition party congress ke sabiq saddar Rahul gandhi neh kaha hai ke Kashmir ke muamlay mein Modi hukoomat haqayeq ko awam se chupa rahi hai tabhi to is neh opposition jamaat ke wafad ko Kashmir ke airport se hi wapas lota diya.

Rahul gandhi ne mazeed kaha ke inhen Jammu wo Kashmir ke awam par sakhti aur un par honay walay mazalim ka amli tajurbah hogaya hai. samaji raabtey ki Website par kiye gay tweet mein Rahul gandhi neh kaha ke 20 din hogaye aur jammu wo Kashmir ke awam ki azaadi aur shehri huqooq salb kiye gay hain. haqayeq maloom karne ki koshish ki to opposition leadron aur press ko jammu wo Kashmir ke awam par zalimana intizamaa aur un par honay walay mazalim ka amli tajurbah hua.

Khayaal rahay ke opposition rehnumao neh BJP hukoomat ki janib se Kashmir ki khusoosi haesiyat khatam karne ke faislay ke baad Kashmir ki sorat-e-haal ka jaiza lainay ke liye dora karne ki koshish ki thi.

Tafseelaat ke mutabiq jammu wo Kashmir ki muqami intizamia neh opposition arkaan ko sri nagar airport se bahar janay ki ijazat nahi di aur unki parwaaz pohanchaney ke chand ghantay baad nai Dehli ki wapsi parwaaz book karwa di thi. congress, communist party of India aur all India Trinamool congress ke 8 senior rehnuma nai Dehli ki parwaaz se srinagar pohanche the. is hawalay se congress neh Tweet kiya tha ke Rahul gandhi ka yeh dora article 370 ke khatmay ke baad Kashmir ki moujooda sorat-e-haal ka jaiza lainay ke liye tha. waqea ke baad congress neh BJP ki hukoomat ki janib se opposition rehnumao ko maqboza Kashmir ka doura karne se roknay ke iqdaam ki mazammat ki thi.

Congress neh Tweet kiya ke hukoomat ke mutabiq agar Kashmir mein sorat-e-haal bilkul theek hai to wafad ko wapas kyun bheja gaya, Modi hukoomat kiya chupaney ki koshish kar rahi hai. Rahul gandhi neh srinagar se wapsi par Dehli airport par sahafion se guftagu karte hue kaha tha ke wafad waadi ke logon ke tasrat jan-nay ka khwahish mand tha lekin hamein airport se agay janay nahi diya gaya.

Rahul gandhi ke mutabiq chand din qabal mujhe maqboza jammu aur Kashmir ke governor neh dawat di thi aur mein neh dawat qubool karli thi, doray mein hum janna chahtay they ke awam kis soorat-e-haal se guzar rahi hain lekin hamein airport se bahar nikalne ki ijazat nahi di gayi. hamaray sath aaye hue press ke arakeen se badtameezi aur tashadud kiya gaya, yeh wazeh hai ke jammu aur Kashmir mein soorat-e-haal theek nahi hai.

Yaad rahay ke BJP hukoomat neh 5 august ko sadaarti farmaan ke zariye article 370 khatam karne ka elaan kardiya tha, jis ke baad Kashmir ka ilaqa ab riyasat nahi balkay wifaqi-ikai kehlaye ga jis ki qanoon saaz assembly hogi.

Ae-en mein mazkoorah tabdeeli se qabal Dehli hukoomat neh Kashmir mein security ehalkaron ki nafri ko berhate hue 9 laakh tak pohancha diya tha. 4 august ko waadi mein curfew nafiz kardiya gaya tha aur kisi bhi tarhan ki naqal wo harkat par pabandi aed kar di gayi thi, jo eid-ul-Adha ke mauqa par bhi barqarar rahi thi, taham is mein chand maqamat par juzwi narmi bhi dekhnay mein aayi thi. –YTN STAFF