New Delhi: Haftay ke roz wazraa ki majlis Amila ki meeting ke baad Modi kabeena ka mangal ko ijlaas mutawaqqa hai, Jo ek jaiza mashq hoga, Is baat ka qawi imkaan hai ke CAA ke is iqdaam ke baad, Markazi hukoomat ab ( NRP ) ki tajdeed po tavajja day sakti hai.
Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur National Register of Citizenship ( NRC ) par jari mulkgeer ehtijaj ke darmiyan hukoomat, National Population Register ( NPR ) laane ki tayari kar rahi hai.
NRP ke tehat, Yakum April 2020 se 30 September 2020 tak mulk bhar mein ghar ghar mardoum shumari ki jayegi. Iska maqsad mulk ke aam bashindoun ki jamia shanakht ka data base banana hai. Is data mein Bio-metric ki maloomat ke sath sath Demo Graphics bhi shaamil honge.
National Population register ( NPR ) ka iqdaam Manmohan Singh hukoomat ke tehat 2010 mein shuru huva tha. Mulk ke kisi bhi ilaqay mein 6 mah ya is se ziyada arsa tak rahaish pazeer kisi bhi bashinday ko NRP mein indraaj karwana zurori hai. –YTN STAFF