Thursday, April 25, 2024
HomeIndiaModi biden mulaqat se Hind America taluqaat mazeed mustahkam honge;White house

Modi biden mulaqat se Hind America taluqaat mazeed mustahkam honge;White house

Washington: White house ke ek auhdedar ne kaha hai ke prime minister Narendra Modi aur America sadar Joe biden ke darmiyan pehli do tarfa mulaqat dono mumalik ke darmiyan taluqaat ko mazbooti se istehkam ki taraf le jaeigi jabke kuwad grouping ko taqwiyat dene mein madad milegi. Biden 24 September ko white house mein modi ki pehli do tarfa mulaqat ke liye mezbani kareinge. Us din ke baad auqaat mein biden white house mein japani prime minister yooshi haide sooga aur Australia prime minister scout moorisun ke saath pehli martaba zaati taur par kuwad leaders simat ki mezbani kareinge.

Biden aur prime minister Narendra Modi dono ne kayi mawaqe par amli taur par baat ki hai. Biden ke January mein America sadar banne ke baad prime minister Narendra Modi aur sadar biden ke darmiyan aakhri teliphone baat cheet 26 April ko huwi thi. White house ke ek auhdedar ne khabar rasan idaare se guftagu karte huwe kaha hai ke rehnuma apne logon aur mushtarkah jamhoori iqdaar ke mabain gehre taluqaat ko mazboot banane par apni tawajjeh markooz kareinge. Jinho ne 7 dahayion se zyada arse se America aur Hindustan ke mabain khusoosi taluqaat ko mazboot kiya hain.

Auhdedar ne kaha biden hairs intezamiya ne azaad aur khule indo phaisfic ko barqarar rakhne ke liye milkar kaam karte huwe Hindustan ke saath hamari shirkat ko badhaya hai.

Covid-19 wabai marz ko khatam karne ki koshish ki hain aur aab o hawaa ke bohran se nipatne ke liye tose iqdamat kiye hain. Qabl azee ek press conference se qitaab karte huwe intezamiya ke ek senior auhdedar ne kaha ke biden modi mulaqat Hindustan ke saath shirkat daari ke nuqte nazar se taaqat se taqatwar hone ka ek mauqa hoga.

Auhdedar ne kaha ke ek azaad aur khule hind behrul kaahil ko barqarar rakhne ke liye milkar kaam kar ke covid-19 wabai marz ke alaami hal mein shirkat ke liye iqdamat aur aab o hawaa ke bohran se nipatne ke liye tose iqdamat kar ke kiya ja sakta hain.

America aur Hindustan ke darmiyan do tarfa guftagu kuwad behas ko taqwiyat dene aur us mein tezi laane mein madad milegi kyun ke bohut se mauzooat bohut zyada ba hum wabasta hai. Prime minister Narendra Modi ke saath do tarfa mulaqat mein dono rehnumao ko insedad dehshat gardi Afganistan ki Surat e haal aur dehshat gardi mushtarkah dushman ke khilaf milkar kaam karne ke baare mein baat karne ka mauqa milega.