Friday, March 29, 2024
HomeIndiaModi America pohunch gaye Joe Biden se pehli shaqsi mulaqat hogi

Modi America pohunch gaye Joe Biden se pehli shaqsi mulaqat hogi

New York: Hindustani prime minister Narendra Modi sadar Joe Biden ki taraf se bulaye gaye kuwad summit mein shirkat ke liye America pohunch gaye hain. Modi apne is 5 roza daure America ke mauqe par muqtalif mumalik ke rehnumao ke saath do tarfa baat cheet kareinge aur aqwaame muttehida ki general assembly se khitab kareinge. America hukkam Hindustani sifarat karon aur Hindustani tarikeen watan ke arkaan ne in ka isteqbal kiya jab woh joint base andrious washington ke bahar ek fauji tairan gah par pohunche jise VIP istemal karte hain.

Modi ne is mauqe par tweet kiya Washington DC mein Hindustani community ka purtakap isteqbal ke liye shukr guzar hamare abnaye watan hamari taqat hai. Jume ke roz woh Joe Biden se shaqsi mulaqat kareinge. Joh sadar ke taur par Joe Biden ke inteqab ke baad unki pehli mulaqat hain secretary kharjaa harsh vardan shringla ne New Delhi mein media numaindo ko bataya ke woh Afganistan mein paish raft ke baad ilaqayi salamti ki maujooda Surat e haal aur bunyad parasti intehai pasandi sarhad paar dehshat gardi aur aalami dehshat gardi neat workers ko khatam karne ki zaroorat par tabadla khayal kareinge.

Woh nayeb sadar kamla hairs se bhi mileinge joh juzwi taur par Hindustani hain is ke alawa Modi Australia ke wuzraye azam scott morison aur japan ke yoohi highday sooga se bhi mulaqat kareinge. Joe Biden morison aur sooga ke saath kuwad Smit mein Modi March mein virtual ijlas ke baad group ki taraf se hone wali paish raft ka jaiza leinge aur indo pacific khitte mein apni rasayi ko badhane ka mansooba banayeinge joh America jio political hikmat amli mein ehum ban chuka hain.

Joe Biden ne aqwaame muttehida mein Tuesday ke roz kaha tha ke hum ne Australia Hindustan Japan aur America ke darmiyan kuwad partnership ko badaya taake sehat ki hifazat se lekar aab o hawaa tak ki ubharti huwi technology tak ke challenges ka muqabla kiya ja sakein yeh kuwad ki pehli shaqsi mulaqat hain tawaqqo hai ke Modi karobari rehnumao aur sarmaya karon se bhi mulaqat kareinge taake woh apne make in india iqdaam ko aage badha sakein.