Sunday, December 8, 2024
HomeOthersHealthModerna ka Covid vaccine ke sad feesad kamyaab honay ka daawa

Moderna ka Covid vaccine ke sad feesad kamyaab honay ka daawa

New York: Amrici company Moderna ke mutabiq company ne America aur Europe mein apne Covid 19 vaccine ke hungami ijazat ke liye darkhwasten daakhil ki hain.

Company ne ek bayan mein kaha corona ke khilaaf unki tayyar kardah vaccine ki ifadiyat 94.1 feesad thi lekin ab is mein mazeed behtari ke baad yeh corona ke khilaaf sad feesad mo-asar hai. Company ne aaj ek bayan mein kaha ke ab woh iski manzoori ke liye darkhwast daakhil kar chuki hai aur usay umeed hai ke bohat jald woh America aur Europe mein apni dawa fraham karegi. Company ke CEO Stephen bensal ne kaha hamein yaqeen hai ke hamari vaccine ek naya aur taaqatwar hathyaar faraham karegi jo is corona ki waba ko tabdeel kar sakti hai aur shadeed bemari, hospital mein mojood mareezon aur amwat se bachao mein madadgaar saabit hosakti hai. agar Amrici food and drug administration is se mehfooz aur mo-asar honay par ittafaq karta hai to phir decemeber ke wast tak dawaiyon mein se 2 khorakein lakhoun americion faraham ki jasakti hain.

Amrici dawasazi phezer aur Germany ke biotech ne guzashta haftay isi tarhan ki manzoori ke liye darkhwast di thi aur unki vaccine 10 decemeber ke foran baad hi America mein dastyab hosakti hai.

‫Adr hai is waqt duniya ke taqreeban sabhi ahem mumalik jin mein America , Hindustan, Germany aur Bar Azam Europe ke deegar mumalik shaamil hain unhon ne corona ki dawa bananay ka daawa kardiya hai aur bohat jald is ke bazaar mein dasteyabi ke daawa kiye jarahay hain. alawa azeen Saudi arab ne to elaan kardiya hai ke woh apni awam ko corona ki dawa muft fraham karega. Hindustan ke Wazeer e Azam Narendra Modi ne haliya haftay mein mukhtalif reyaston ke cheif ministers se corona ki teeka andazi ke zimn mein ejk ijlaas bhi munaqqid kar chukay hain.