Beijing: China mein 1 shakhs ne 3 lakh dollar mein aisa mobile phone number khareeda hai jo is ke khayaal mein khush qismati ka baais banay ga. Khabar rasan idaray AFP ke mutabiq senkdon afraad ne ye Lucky number kharidne ki koshish ki jis ke aakhir mein 5 martaba 8 ka hindsa aata hai. Cheeni zabaan mein 8 ka hindsa angrezi ke lafz khushhali se mamaslat rakhta hai jis ke maienay kamyabi ke hain. China adalat ki janib se mohar band asason mein ye Lucky number bhi shaamil hai jis ki nelamee ka hukum diya gaya tha.
Virgin online nelamee mein paanch hazaar se ziyada afraad is khush qismat number ke husool ke liye boli laga chuke hain. Teen laakh dollar mein ye Lucky number khardney walay shakhs ne nelamee mein shirkat ke liye chaar so yuan ada kiye thay, Jabkay baqi raqam ada karne ke liye 10 din ki mohlat di gayi hai.
Aksar Cheeni phone companian sarfeen ki dilchaspi ke liye aisay hindson par mushtamil mobile number muta-arif karwati hain jo muqami aqaed ke mutabiq khush qismati ka baais bantay hain. Aath ka hindsa China mein is qader khush qismat samjha jata hai ke Beijing mein munaqqid honay walay Olympics 2008 ki taqreeb ka aaghaz bhi aath baj kar aath minute par kiya gaya tha. Taqreeb saal ke aathween mahinay August ki aath tareekh ko munaqqid hui thi.
China mein chaar ka hindsa sab se kam pasand kiya jata hai jis ke muqami zabaan mein matlab mout ke hain. Is se qabal 2017 mein hui nelamee mein teen laakh 91 hazaar Yuan mein aisay number ki farokht hui thi jis ke aakhir mein 7 ka hindsa aath martaba aata tha. China mein saat ka hindsa zaati taluqaat ke liye khush aaind samjha jata hai.