Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaMob Lynching se mutaliq Mohan Bhagwat ke bayan ki Owaisi ne ki...

Mob Lynching se mutaliq Mohan Bhagwat ke bayan ki Owaisi ne ki mazammat

Hyderabad : AIMIM ke sarbarah wo rukan-e-parliment hyderabad Asaduddin Owaisi ne mangal ke roz, Rashtriya Swayam Sewak ( RSS ) ke sarbarah Mohan Bhagwat ke is bayan par tanqeed ki, jis mein Bhagwat ne hujumi tashadud ( Mob Lynching ) ko Hindustan ko bad-naam karne ke mutradif  qarar diya hai.

Mohan Bhagwat ne kaha tha ke ”Mob Lynching maghribi rasta hai aur usay mulk ko badnaam karne ke liye Hindustan ke tanazur mein istemaal nahi kiya jana chahye.

AIMIM ke rehnuma Asad Owaisi ne kaha ke ”Hujumi tashadud mein halakatoun ke shikaar Hindustan hain“. unhon ne ilzaam lagaya ke Bhagwat hujumi hamla se qatal ko roknay ke liye nahi keh rahay hain. Asad Owaisi ne tweet kiya ke ”Gandhi aur Tabrez ansari ka qatal jis nazar-beeni ki is se badi mulk ki badnami kisi aur mein nahi hosakti.

Wazeh ho-ke mangal ki subah Nagpur mein RSS ki vijay dashmi rally se khitaab karte hue Mohan Bhagwat ne kaha tha ke Lynching ki istilaah ko Hindustani tanazur mein istemaal karna ghalat hai. yeh lafz Hindustan ko bad-naam karne ke liye istemaal horaha hai. –YTN STAFF