Sunday, May 12, 2024
HomeHyderabadMMTS khidmaat ko dobarah shuru karne ki tayyariyan

MMTS khidmaat ko dobarah shuru karne ki tayyariyan

Hyderabad: Hyderabad Metro Rail pichlle kuch hafton se shehar bhar mein apni khidmaat faraham kar rahi hai aur uskay alawa Buses bhi Greater Hyderabad mein chalne shuru hochuki hain Ab shehar mein MMTS ki khidmaat ko dobarah shuru karne ki baari South Central Railway ( SCR ) ki hai. Markaz se ijazat ki tawaqqa karte hue SCR Hyderabad Multi Model Transport System ki khidmaat dobarah shuru karne aur un ko baqaidagi se barqarar rakhnay ke liye tayyariyan ki jarahi hain. Hyderabad Multi Model Transport System ke ilawa ab har qisam ki public transport shehar mein musafiron ke liye dastyab hai.

SCR ke mutabiq woh zeli shehri train khidmaat dobarah shuru karne ke liye wizarat dakhila umoor aur wizarat Railway ke ehkamaat ke muntazir hain. Ek senior ohdedar ne kaha ham kisi bhi waqt MMTS ko chalanay ke liye tayyar hain kyunkay tamam ricks munasib aur behtar nighdasht ke sath tayyar hain. Suburban ki trains 22 March ko mulk bhar mein moattal kar di gayeen theen aur Hyderabad Multi-Model Transport System ne 6 mah se ziyada ke arsay mein ek inch ka safar bhi nahi kiya hai. Is se qabal Railway ne khusoosi Train chalaye theen aur is waqt khusoosi train chal rahi hain.

ohdedaron ne kaha hai ke Maula Ali mein Electric Multi Pal Unit ( EMU ) Car shade mein MMTS ke Ricks ko barqarar rakha ja raha hai. Ek Senior ohdedar ne kaha hai ke bahaali ke hissay ke tor par Break, Pahiye ki saf bandi aur Engine aur deegar Motors ka kaam karne ke sath sath Battery ki baqaidagi se jaanch padtaal ki jarahi hai.

SCR Secunderabad Lingampally, Hyderabad aur Secunderabad fallak numa hisson par 12 Rick chala rahe hain. Pichlle mahinay MMTS khidmaat ne nawahi ilaqon mein naqal-o-hamal ko behtar bananay ki simt ek qadam ke tor par 9 August 2003 ko muta-arif karaye jane ke 17 saal mukammal kiye hain.

MMTS ki khidmaat 121 khidmaat ke zariye har din taqreeban 1.60 lakh musafiron ko sawari faraham karti hai. Is ki khidmaat ka daira 40 kilometer se ziyada par muheet hai, Yeh shehar ke mukhtalif hisson mein Rail sarfeen ke liye khidmat faraham karti hai jis mein Secunderabad, Kachiguda aur Hyderabad ke alawa 25 muqami station hain. MMTS khidmaat ke zareya haasil honay wali aamdani ek din mein taqreeban 9 lakh rupay hai kyunkay is ka kiraya kam se kam Ticket 5 rupay aur ziyada se ziyada kiraya 10 rupay wusool kiya jata hai.