Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaMiyad se pehlay ohdedaron ki subok-doshiyan, aik nayi behas ka aaghaz

Miyad se pehlay ohdedaron ki subok-doshiyan, aik nayi behas ka aaghaz

New Delhi: Hindustan mein is waqt ohdedaron ka miyaad ki takmeel se pehlay apne ohdon ko kher baad kehnay ka rujhaan chal raha hai aur yakke baad deegray ahem ohdedaron ke mustafi honay se Mulk mein aik nai behas cheed chuki hai aur maana ja raha hai ke Modi hukoomat mein ohdedaron par girift mazboot karne ki jo koshish ki jarahi hai is se ohdedar bud zan hokar ohdon ki hi kher baad keh rahay hain. Yeh wajah hai ke jo ohdedar apne ohdon ko kher baad keh chuke hain un mein aeye din izafah hi ho raha hai. Urjit Patel, Arvind Subramanian, Surjit Bhalla, Arvind Panagariya aur Vijay Laxmi Joshi mustafi honay walay kuch ahem naam hain.

RBI ke Deputy Governor Viral Acharya ke achanak ohda chorne se Modi Hukoomat ke dakhli kaam kaaj ke tareeqay par aik baar phir sawalia nishaan lag chuka hai. Viral Acharya ney muddat poori honay ke qareeb chay mahinay pehlay apna ohda chorha hai. Modi hukoomat mein RBI ko yeh 7 mahiney ke andar dosra bada jhatka laga hai. Is se pehlay Urjit Patel ney bhi waqt se pehlay RBI Governor ka ohda chore diya tha. Viral Acharya ney 23 January 2017 ko Deputy Governor ka ohda sanbhala tha aur un ki miyad teen saal ke liye thi. Viral Acharya pehlay badey ohdedar nahi hain jinhon ney Modi hukoomat mein istefa diya hai. Guzishta paanch saal ke douran Modi hukoomat mein ahem ohdon par rahay saat badey ohdedaron ney waqt se pehlay achanak apna ohda chorra hai. Un mein se kuch ney ohda chorne ke peechay zaati asbaab betaye, to wahein kuch ohdedaron ki hukoomat se takrav ki khabrain bhi aam huwien.

Urjit Patel ney Statistics Commission ke arakeen ney takrav ke baad ohda chorra. Isi saal January mein NSI yani National Statistics Commission ke do azad arakeen P Sai Mohini aur Jai V Minakshi ney istefa diya. Dono arakeen ke isteefay ke peechay labour force survay ke adaad o shumaar ko jari karne ke mutaliq hukoomat se takraoo ki  wajah bataya gaya. RBI Governor ohda par rahay Urjit Patel ney Decemeber 2018 mein apne ohda se achanak istefa dey diya tha. Un ki miyad September 2019 mein khatam honay wali thi. Halan ke Urjit Patel ney istefa ki wajah zaati asbaab bataya tha lekin khabar thi ke Patel ko RBI fund aur is ki khudmukhtaari ke mutaliq hukoomat ki janib se ki ja rahi rakhna andazi ki wajah se istefa dena pada.

Maahir maeeshat Patel ney Notebandi se do mahiney pehlay September 2016 mein RBI ka ohda sanbhala tha. Modi hukoomat ki pehli miyad mein hukoomat hind ke cheif muashi musheer rahay Arvind Subramanian ney June 2018 mein waqt se pehlay apna ohda chore diya tha. Un ke ohda chorne se pehlay hi is waqt ke markazi Wazeer maaliyaat Arun Jaitley ney Facebook par post likh kar daawa kiya tha ke Subramanian ney khandani masail ki wajah se America lotney ka faisla kiya hai. Modi hukoomat mein Wazeer e Azam ke muashi musheer council ke jazoqti rukan manay janey walay maahir maeeshat Surjit Bhala ney guzishta saal decemeber mein apne ohda se istefa diya tha. Unhon ney Twitter ke zariye ohda chorne ki ittela di thi. Modi hukoomat mein wujood mein aayi Niti Aayog ke pehlay Deputy Chairman Arvind Panagariya ney June 2017 mein waqt se pehlay ohda se istefa day diya tha. Panagariya ko January 2015 mein Niti Aayog ka pehla Deputy Chairman banaya gaya tha.

Hind. Amrici maahir maeeshat Panagariya ney istefa ke peechay Colombia University ki mulazmat ko wajah batatay huwe kaha tha ke Colombia University unhein mazeed tosee nahi day raha. 2014 mein Moodi hukomat ke Iqtidaar mein anay ke baad kaafi shore sharabe ke sath shuru kiye gaye Swachh Bharat muhim ka jab 2015 mein aik saal mukammal honay ko tha, tabi achanak muhim ki sarbarah IAS Afsar Vijay Laxmi Joshi ney ohda se istifa day diya. Itna hi nahi, 1980 beech ki Gujrat kidar ki ohdedar Joshi ney baad mein khidmaat mukammal honay ke teen saal pehlay hi khud apni khursi se subuk doshi bhi ikhtiyar ki. Unhon ney istefa ke peechay zaati wajah batayi thi lekin zaraye ke mutabiq Joshi Swachh muhim mein baghair kisi mahswara aur muzakare ke tey kiye ja rahay ahdaaf aur is se mission ko le kar wazahat nah honay se naraaz batayi ja rahi theen.