Sunday, May 19, 2024
HomeExclusiveMisri footballer Mohammad Salah ki wajah se kattar islam-e-dushman angrez Ben Bird...

Misri footballer Mohammad Salah ki wajah se kattar islam-e-dushman angrez Ben Bird ne islam qubool karliya

Hyderabad : Maghribi duniya aur muslim dushman media Islam aur musalmanoun ko badnaam karne ke liye airee chouti ka zor laga rahay hain aur yeh propaganda karte hain ke musalmanoun ne talwar ki zor par zulm-o-zayad-ti ke zareya islam ko duniya mein phaelaya hai.

Islam ko badnaam karne ke liye maghribi duniya Islam phobia istilaah ko aam karne mein koi kasar nahi chodh rahi hai. Islam phobia woh lafz hai jo kay ghairon mein islam ke mutaliq dar, dehshat aur nafrat jaisay jazbaat paeda karta hai lekin haqeeqat yeh hai islam ek aman pasand mazhab hai jo kay talwar ke zor se nahi balkay akhlaq aur bartao se phaela hai.

Yeh sach hai ke islam rasooloun, waliyoun aur Allah ke nek bandoun ke akhlaq se ghairoun mein muntaqil hua hai jiski ek taaza misaal Misar ki football team ke aalmi shohrat Yafta khiladi Mohammad Salah ke akhlaq hai jinki wajah se ek kattar muslim mukhalif angrez Ben Bird jo-ke islam aur musalmanoun se shadeed nafrat karta tha woh ab gosha-e-Islam mein aachuka hai. Liverpool football team ke star khiladi aur Misri footballer Salah se mutasir ho kar ek angrez jo islam aur musalmanoun se sakht nafrat karta tha Musharraf bah islam hogaya hai.

Tafseelaat ke mutabiq daira-e-islam mein daakhil honay walay angrez ne kaha hai ke hai ke usay islam se shadeed nafrat thi lekin jab Liverpool ke foot bowler Mohammad Salah ne islam ki asal tasweer pesh ki to woh islami talemaat se bohat mutasir hua jiske baad is ne islam qubool karne aur musalman honay ka faislah kiya.

Ben bird convert into islam Mohammad salah

Misri footballer Mohammad Salah muqablay ke douran action mein

 

The Guardian akhbar ko interview dete hue nou muslim Ben Bird ne kaha ke woh Liverpool striker Mohammad Salah ki wajah se Islam phobia ka rasta chodh kar musalman honay ki taraf Raghib hua. isne kaha ke Mohammad Salah hi meri tabdeeli ki wajah hain jinki shakhsiyat ne vaqata mujhe mutasir kiya. ab meri khwahish hai ke mein Mohammad Salah se mulaqaat karun aur iske sath musafah karkay inhen bataoun ke mein unki wajah se Musharraf bah islam hogaya hun. sath hi unka shukriya bhi ada karun.

Apne interview mein Ben ne kaha ke mein nottingham forest seasons ka ticket holder hon, lekin ab mein musalman honay ka apna aqeedah zahir kardiya hai. mein abhi musalman hua hon aur mein Mohammad Salah ki wajah se hi islam qubool kiya hai. mein Salah se milna pasand karoonga aur un se shukriya kahunga. unhon ne mazeed kaha ke mujhe nahi lagta ke mere saathi mujh par yaqeen karenge ke mein musalman hogaya hon kyunkay mein zahiri tor par vaqata tabdeel nahi hua hon lekin mujhe yeh lagta hai ke mera dil andar se behtar hogaya hai.

Ben ne mazeed kaha ke mujhe yeh kehte hue sharam aati hai lekin islam ke baare mein meri raye bohat manfi thi aur samjhta tha ke musalman pasmandah hain aur wo maghribi tahazeeb se khud ko hum aahang nahi kiya aur Iqtidaar sambhaalna chahtay hain. mein ne hamesha islam se nafrat ki aur mujhe musalmanoun se nafrat thi. Ben ne kaha ke jab mein chowthi jamaat mein tha to yeh ek aisa daur tha jahan mujhe lagta hai ke mujhe apni bad-qismati ka ilzaam laganay ke liye kisi ki zaroorat hai. meri is talaash ko media aur muslim dushman safhaat ne aasaan kardiya. unhon ne mujhe propaganda ke zareya muslim aur Islam dushmani par uksaya.

Jiske baad mere paas Islam ke yeh khofnaak nazriaat they. is waqt mein kisi musalman ko nahi jaanta tha lekin university of leads mein middle eastern studies mein meri degree ne sab kuch badal diya. kyunkay university mein hamein ek maqalah paish karna tha aur mein kuch mukhtalif karna chahta tha. mujhe yaad hai ke mere nigaran-car ( ustaad ) ne mujhe yeh kaha tha ke Mohammad Salah ke taranah ke baarey mein kiya khayaal hai? mujhe is se aagah tha aur mein samjhta tha ke yeh lajawab kaam hosakta hai.

Aakhir kar mere zehen mein sawal aaya Mohammad Salah , Allah ka tohfa. kiya Mohammad Salah ki karkardagi aisi guftagu ko mauqa day rahi hai jis se media aur siyasi shobo mein Islam phobia ka muqaabla hosakay? mein ek aam safaid form taalib-e-ilm tha jo mukhtalif shehar jata to bilkul mutasirah hojata aur taalib-e-Ilmi ki zindagi guzarta tha. meri degree mein pehla mauqa tha jab mein ne Islam ke baarey mein ilmi andaaz mein seekha.

University ne mujhe Saudi arab ke bohat saaray talba se milnay ka mauqa faraham kiya. mein ne socha ke woh badkirdar log hain jinhon ne chonkey utthayen lekin woh sab se achay log they jin se meri mulaqaat hui. arab mumalik ke baarey mein mere jo tasawurat they woh mukammal tor par badal gaye.

Ben bird convert into islam Mohammad salah

Mohammad Salah zakhmi apne nanhay Shaiq ke sath iski diljoyi ke liye tasweer kashi karte hue

Mohammad Salah pehlay musalman they jin se mera taaluq tha. mein jaanne laga ke woh apni zindagi kis tarha guzarta hai, woh logon se kaisay baat karta hai. isi douran Salah ke ek insaaniyat dost waqea ko samajhnay ka mauqa mila Salah chunkay football duniya mein Liverpool football club ki numaindagi karte hain lehaza unke ek noujawan star jo ke woh apne pasandeeda khiladi Salah ke sath tasweer kashi ka khwahan tha woh is koshish mein apni naak zakhmi karwa baitha tha jab Salah ko is waqea ka ilm hua ke ek nanhay Shaiq ki naak toot gayi to Salah ne is ladke ke sath tasweer khinchwakar insaaniyat ka muzahira kiya mujhe maloom tha ke kuch dosray foot bowler bhi aisa karte hoge lekin aap Salah se behtar tawaqo karsakte hain.

Ben bird convert into islam Mohammad salah

Mohammad Salah tayyaray mein douran safar talawat quran Majeed mein masroof dekhe jasakte hain

Ben ke mutabiq university may mein ne Misri talba ka interview liya aur jab inhen maloom hua ke meri tahaqeeq ka unwan Mohammad Salah , Allah ka ek tohfa’ ‘ hai aur jo liverpool ka ek taranah bhi hai iske baad woh mujh se ghantoun baat karte ke woh kitna bada khiladi hai aur is ne unke liye kiya kiya hai. Mulk ke intikhabaat mein ek million misrion ne apna vote unke haq mein diya aur pichle saal unke sadar ban’nay ke liye vote diya waghera waghera.

Ek Misri ne jis se mein ne baat ki thi is ne mujhe bataya ke Salah islam ki pairwi karne walay ek super star khiladi hai. jab Salah ne champions league khitaab jeeta aur Liverpool team faateh bani to mein ne apne dost se kaha ke yeh islam ki kamyabi hai. kyunkay Salah jab bhi goal karne mein kamyaab hotay hain to woh maidan mein hi sajda shukar bajalate hain aur inka sajda karne ka amal duniya ke samnay ek bohat hi badi islami alamat ko wazeh karta hai kyunkay crores log har haftay premier league ke muqablay dekhte hain aur aalmi satah par lakhoun afraad ke samnay Salah ka yeh sajda karna islam ki talemaat ka Mazhar hai.

Unhon ne mazeed kaha ke jab log quran ko padhte hain, ya islam ke baaray mein padhte hain to woh kuch mukhtalif dekhte hain jisay media mein hamesha jo paish nahi kiya jata hai kyunkay media ne islam ko hamesha nafrat angaiz andaaz mein hi paish kiya hai lekin Salah ne apne kirdaar se islam ko paish kiya hai jiski wajah se meri islam se nafrat ab mohabbat mein badal gayi hai. –YTN STAFF