Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsMisar mein tareekhi maqamat aur ajaaeb ghar khol diye gaye

Misar mein tareekhi maqamat aur ajaaeb ghar khol diye gaye

Cairo: Misar mein tareekhi maqamat aur ajaaeb ghar kayi mah tak band rehne ke baad khol diye gaye. Tafseelaat ke mutabiq Misri Aasaar-e-Qadima ki Supreme council ke secretary general Dr Mostafa Waziri ney kaha ke 3 mah se coronavirus ki wajah se ajaaeb ghar aur tareekhi maqamat band pade huve they. Yakam July ko 21 ajaaeb ghar aur tareekhi maqamat sayaho ke liye khol diye gaye.

Unhoun ney kaha ke ye ajaaeb ghar Cairo, Giza, Alexandria, Al Qasr, Matruh, aur Aswan mein waqay hain. Unhoun ney kaha hai ke deegar tamam ajaaeb ghar aur tareekhi maqamat kholnay ke liye nizaam ul awqaat tayyar karliya gaya hai batadreej sab khol diye jayen ge.

Lajeza ke Ahramaat, Qilah, Tahrir Square ka qaumi ajaaeb ghar, Islami ajaaeb ghar aur isaai Aasaar-e-Qadima wala ajaaeb ghar bhi khol diya gaya hai. Dr Mustafa Waziri ne mazeed kaha ke Sekundria ka qaumi ajaaeb ghar, Shahi zeyorat ajaaeb ghar, Ahmed Alsowaidi ke ilaqay, Qilah Qayatbai, Qom AL Shakafa Matroh aur kahef roomel ajaaeb bhi khol diye gaye hain.

Maghribi Al Qasar mein waadi Al-Malook ke maqbare, Karnak aur Al-Qasar mein waqay ibadat ghar Hatshepsut ajaaeb ghar, Al-Nanwi ajaaeb ghar, Fela ajaaeb ghar, Abbu symbol Nami chhootay baday ibadat ghar bhi khule jare hai.