Cairo: Misar ke dar-ul-hukoomat Cairo ki ek adalat ne mulk ke sabiq wazeer khazana Yousuf Ghali ke bhai ko nawadiraat ki Smuggling ke ilzaam mein 30 saal qaid ki saza sunai hai. Adalat ne sabiq Misri sadar Hasna Mubarak ke daur ke wazeer khazana Yousuf Ghali ke bhai Rauf Ghali ko nawadiraat Misar se Italy Smuggling karne par 30 saal qaid ke alawa 6 Million Pound ( 3 lakh 80 hazaar Dollars ) jurmana bhi kiya.
Tafseelaat ke mutabiq is muqadma mein Rauf Ghali ke alawa 3 deegar afraad ko bhi sazayen sunai gayi hain jin mein Misar mein Italy ke sabiq aizazi Consul Ladislav Skakal bhi shaamil hain. Italian consul ko un ki ghair haazri mein rawan saal January mein 15 saal qaid aur 10 laakh pound jrmane ki saza sunayi gayi thi lekin haliya adalti faislay ke baad agar Misri hukkaam inhen giraftar karne mein kamyaab ho jatay hain to inhen 30 saal qaid kaatna hogi.
Misar ne Interpol se sabiq aizazi consul ke khilaaf Red Notice jari karne ki istada ki hai. Misri hukkaam ke mutabiq chori kiye jane walay nawadiraat mein 22 hazaar sone ke sakay, 151 chhoote murtiyan, 5 Mammy Mask, 11 matti ke bartan aur Islami daur ki cheeni ki 3 tayloun sameit ek lakdi ka taboot shaamil tha.
Italy police ne 2017 mein bahera Room ke sahili shehar scandinavia mein ek safarti container se is chori ka suraagh lagaya tha. Is ke alawa Misri security agency ne Cairo mein Skakal ke ghar aur ek Bank ke locker mein chupaye gaye qeemti nawadiraat bhi bar aamad kiye thay. Chori shuda nawadiraat Italy ke hukkaam ki madad se 2018 mein Misar ko wapas kar diye gaye thay. Is muqadma mein 2 Misri shehri ko bhi fi kas 15 saal qaid aur 10, 10 lakh Pound jurmana kiya gaya tha.
2011 mein sabiq sadar Hasna Mubarak ko iqtidaar se hataye jane ke liye hone wali baghaawat aur is ke baad mulk mein peda hone walay siyasi inteshaar ke douran Misar mein nawadiraat ki chori aur smuggling mein izafah huva tha. Guzashta baras ek francvi Paadri ka sunehri taboot hungamoun ke douran chori ho gaya tha jis ko baad America se wapas laya gaya. –YTN STAFF