Tuesday, May 7, 2024
HomeTrending NewsMisar mein Musalman aur Isayion ka ek sath Iftaar

Misar mein Musalman aur Isayion ka ek sath Iftaar

Cairo: Misar ke dar-ul-hukoomat Cairo ke isayi  rehaeshi mah Ramadan ke douran apne Musalman humsaayoun ke sath mil kar na sirf sadqa khairaat karte aur deegar riwayaat nibhate hain balke yaha ek sath Iftaar bhi karte hain. Sarkari adad o shumaar ke mutabiq Cairo ke ilaqay Shobra mein isaai baradri ki tadaad 5 lakh 90 hazaar hai.

Ek Isayi khatoun Yasmeen Tadroos ne kaha hai ke mein rozay daar ke samnay kuch nahi khati. Mere walidain ne mujhe ye baat bachpan hi mein sikha di thi. Mujhe  Muslaman bhaiyoun ke sath Ramadan ki riwayaat nibhate huve 20 saal hogaye hain.

Unhoun ne mazeed kaha ke Shobra Street mein hum ikathay Iftaar tayyar karte they aur phir Musalman aur Isaayion aise mil kar khatay they. Degar loog bhi hamaray sath mil jatay they aur hum bohat khush hotay they. Taham Coronavirus ke baais is baras hum mohtaat hain.

Misar mein mil jul kar rehna zindagi ka hissa hai, Khaas tor par Shobra main jahan Ramadan mein Musalman aur isaai ahtraman ikathay hojatay hain. Maghdi Aziz Shobra Street mein waqay ek mashhoor Kirana Store ke maalik hain aur wo muft Ramadan dastar khwanoun ke liye chawal aur Pasta atiyah karte hain. Taham Coronavirus ke baais is baras ye dastarkhawan nahi lagaye gaye lehaza ab wo zaroorat mandoun ke liye rashan atiyah kar rahay hai.

 Unhoun ne kaha ke mein jo karta hon wo dil se karta hon. Mein achhai karta hon aur meri khwahish hai ke aisa sab karen kyunkay ye karna khuda ke sath mohabbat karne ke mutradif hai. Unhoun ne kaha Misri achay kaam karna pasand karte hain wo har moqay par, Khusoosi tor par, Ramadan mein ikathay hotay hain. Baaz auqaat mein Ramadan mein sab ke liye ashya aadhi qeemat par farokht karta hon. Unhoun ne mazeed kaha hai ke  wo Ramadan mein ye kaam kayi barsoun se kar rahay hain kyunkay ye khirat aur achhai ka waqt hota hai.

Peshay ke aitebaar se Accountant Jarges Hana ne  kaha hai ke unhoun ne  hamesha is baat ka khayaal rakha hai ke rozay daaroun ki dil aazari nah hu lehaza wo un ke samnay khanay peenay se guraiz karte hain. Unhoun ne kaha hai wo Ramadan mein khushy mehsoos karte hain aur khaas tor par is waqt jab Iftaar se pehlay sooraj doob raha hota hai. Jarges ne kaha hai ke wo apne sath kaam karne walay un roza daar sathiyoun ke sath sheft tabdeel kar letay hain jo rozay ki haalat mein kaam nahi kar satke. Unhoun ne ye bhi kaha ke wo Ramadan mein apne sathiyoun ke liye kam az kam ye to kar satke hain. -YTN STAFF