Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsMisar mein Masajid kholnay ka faisla, Musallioun ke liye naye qaleen faraham...

Misar mein Masajid kholnay ka faisla, Musallioun ke liye naye qaleen faraham karne ka elaan

Cairo: Misri hukoomat ne corona ki waba ke asraat mein kami ke baad aindah haftay se masajid ko ibadat ke liye kholnay par khaor shuru kiya hai. Wazeer auqaaf Dr Mohammad Mukhtaar ne kaha ke Eid Ul Fitr se qabal Wazeer e Azam Dr Mustafa Madbouly ke Eid Ul Fitr ki tatilat ke elaan ki bunyaad par wizarat uqaaf ne masajid ko kholnay ke liye ek mansoobah tayyar kiya hai.

Unhoun ney mazeed kaha ke wizarat uqaaf ney Masjid Amr ibn al-As aur Jamia Al-Har ki markazi masjid, Masjid Mostafa Kamal Madbouly aur masjid Sayeda Nafisa mein taraveeh aur Eid ki namazoun ki ijazat di gayi thi. Misri wazeer uqaaf ney aindah haftay ke roz malik bhar ki msajd ke liye naye qaleen faraham karne ka amal taiz karne ka bhi hukum diya aur kaha ke 3 lakh 20 hazaar meter qaleen Masjid ke liye tayyar hain.

Wazeer Mosoof ney hidaayat ki ke corona Crises Managment Committee ke ,anzoor shuda tareeqakar ke tehat Masajid mein ibadat ko mamool par laane ki koshish ki ja rahi hai taham sath hi shehrioun ko bohat ziyada ahthyat baratnay ki bhi talqeen ki gayi hai. Ye baat qabil zikar hai ke Misri wizarat uqaaf ney chand roz qabal eid ulfittar ki namaz ke liye Hadayat jari ki theen. eid ke moqay par malik ki barri msajd ko namaz ke liye khoola gaya tha taham Sayeda Nafisa masjid aur baaz doosri Masajid mein 20 bees se zayed namazyoun ko Eid ki namaz ki ijazat nahi di gayi. –YTN STAFF