Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsMisar mein khofnaak atishzadgi, Mutadid gadiyan aag ki nazar

Misar mein khofnaak atishzadgi, Mutadid gadiyan aag ki nazar

Cairo: Misar ke ilaqay Cairo Ismailia  sehraa Road Al-Azhar Bin Ramzan shehar ki Parking mein tail pipe line mein khofnaak aag bharak uthi. Dhuwen ke baadal Misri dar-ul-hakoomat par chhaa gaye. Website ke mutabiq Fire Brigade ki 20 gadiyan moqe par pohnchain aur aag par qaboo panay ki koshish ki.

Misri wizarat petroleum ne kaha hai ke aag qaboo mein hai. Jis pipe line mein aag lagi wo mobayyana tor par chemical ke liye istemaal mein hai. Misri media ke bamujab atishzadgi ke baais Salam shehar se Anwar shehar ke road par gadiyoun ki qatarain lag gayeen. Social media par atishzadgi ki Video Viral hain jis mein dekha ja sakta hai ke darjanoun gadiyaan aak ki lapait mein hain. Al Yom Al Sabah ke mutabiq petrol pipe company ke ek ohdedar ne kaha hai ke aag Ismailia  ke sahrayi road par tail ki pipe line mein rasao ki wajah se lagi hai.

Aag bujhanay ki koshish jari hai. Asbaab ka pata laganay ke liye tehqiqati team tashkeel day di gayi. Sky news ke mutabiq atishzadgi ki lapait mein aajane wali mutadid gadiyoun ke driver jhulas gaye.

Misri wazeer petroleum sorat e haal ki sangini ke pesh e nazar jaye waqooa par poanch gaye. Misri mehakma traffic ney awam se kaha hai ke wo asdhaam ke pesh e nazar Ismailia  shahrah se daur rahen. Mehakmay ney mutasirah ilaqay jaanay walay tamam rastay band kardiye. Misar ke tibbi zaraye ney kaha hai ke ab taq 8 afraad zakhmi ho chukay hain. Mutasireen ki tadaad badh sakti hai. Mumkin hai kuch loog aag se mutasir hokar halaak bhi hogaye hon. Atishzadgi ke asbaab jan-nay ke liye takneeki committee tashkeel di gayi hai jo apni report security idaroun ko pesh kere gi.