Tuesday, May 14, 2024
HomeTrending NewsMisar mein farz Namazoun ke liye Masajid kholnay ka faisla

Misar mein farz Namazoun ke liye Masajid kholnay ka faisla

Cairo: Misri wazeer e azam Mostafa Madbouly ney kaha hai ke farz namazoun ke liye Masajid kholnay ka faisla kiya hai  lekin jumma ko Masajid aur itwaar ko girja ghar band rakhay jayen ge. Website ke mutabiq Misri wazeer e azam ney press conference mein kaha ke hukoomat ka 25 feesad tak Restaurants aur Qawa khanaay kholnay ka bhi erdah hai. Aindah is programme mein tarmeem bhi ki ja sakti hai.

Wazeer e Azam ne mazeed kaha ke Qawa khaanoun mein coronavirus se hifazati tadbeer ke tehat huqqa noshi ki ijazat nahi hogi. Unhoun ne kaha hai ke Restaurants raat 9 bajay aur Qawa khaney 10 bajay band kardiye jayen ge. Misri wazeer e azam ke mutabeq hafte June 27 se cinema ghar khol diye jayen ge. Shaiqeen har cinema ghar aur Theater min 25 feesad ki gunjaish tak hi aa saken ge. Ye faisla corona se bachao ka silsila barqarar rakhnay ke liye kiya gaya hai.

Unhoun ne ke mulk mein corona se mutasireen ki tadaad qaboo mein hai. Wizarat sahet aur aala taleem ki wizarat halaat ko qabo kiye huve hai. Wazeer-e-Azam ne mazeed kaha hai ke corona ke hawalay se ziyada bada challenge azeem Cairo ke hawalay se hai. Mushahiday mein aaya hai ke 50% mutasireen ka talluq Cairo, Giza se hai. 60 feesad amwaat ka talluq bhi unhi tenu maqamat se hai. 

Alawa azeen saltanat Amman ne shopping Malls aur kuch tijarti aur sanati idaray kholnay ka elaan kiya hai. Sarkari khabar rasan agency ke mutabiq is faislay ke tehat Real State, Travel Agencies, Maintenance Business aur Dry Cleaners khole jayen ge taham sarfeen ku kam as kam 2 meter ki doori ko barqarar rakhna hoga.