Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsMisar mein Eid Ul Fitr ki tatilat lockdown ki nazar

Misar mein Eid Ul Fitr ki tatilat lockdown ki nazar

Cairo: Misar ney Novel coronavirus ko phelnay aur awam ko is se bachanay ke liye Eid Ul Fitr ki chutioun mein 6 din tak lockdown ka elaan kiya hai. Misri wazeer e azam ney kaha ke alla wazarti committee ney mutadid hifazati iqdamaat tey karliye. Itwaar 24 May se jummay 29 May tak public Transport bhi band rahegi.

 Tafselat ke mutabiq unhoun neh kaha ke naye faisloun ke tehat Ramadan ke ekhtataam par pooray mulk mein tamam tijarti marakaz, Malls, Restaurant, Public Park, Tafrehi maqamat, Darya neel aur saahil samandar aur tafrehi khidmaat pesh karne walay marakaz band honge. Unhoun neh mazeed kaha ke shehrioun ki aamad waraft par kam az kam 2 haftay tak pabandi barqarar rahegi. Eid ke tatilat mein curfew shaam 5 bajey se shuru hoga jabkay is ke baad curfew raat 8 se subah 6 bajey tak barqarar rahega jaissa ke Ramadan se pehlay tha.

 Misri wazeer e azam ne mazeed kaha ke  ayenda mah June ke wast se Sports Club aur Restaurant sameit kuch sargarmia batadreej bahaal ki ja sakti hain. Unhoun ne ye bhi ke ibadat gaahoun ko bhi dobarah kholnay par ghhor kiya jaye ga. Misar mein aala wazarti committee ke ijlaas Novel coronavirus bohraan se mutaliq special iqdamaat ke hawale se munaqqid huwa tha. Yaad rahay ke Misri hukoomat apne yahan virus ko phelnay se roknay ke liye mo-asar iqdamaat jari rakhnay ke liye pur azam hai. Hukoomat virus ko phelnay se roknay ke liye awaami aur khandani ijitmaat par pabandi lagane ka program bana rahi thi. Wazeh rahay ke misar mein corona ke mutasireen ki tadad 11 hazaar se ziyada hai aur ab tak corona se 612 amwaat ho chuki hain. –YTN STAFF