Friday, May 17, 2024
HomeLatest Newsmisar mein 4 hazaar saal qadeem lakri ke 20 taboot daryaft

misar mein 4 hazaar saal qadeem lakri ke 20 taboot daryaft

Cairo: Duniya mein qadeem tahzibon aur tamaddun ki tawareekh kahin sab se ziyada hain to woh arab duniya ka mashhoor mulk misr ke jahan mammy aur tabooth ke ilawa kayi raaz dafan hain aur aeye din kisi nah kisi raaz par se parda uthta hi rehta hai kyunkay misar ke ilaqon mein kabhi koi ahraam daryaft hota hai tou kabhi kisi badshah hay aur tahazeeb ke bqayat dastyab hotay to kabhi yahan ki zameen apne andar ke kuch aur raaz faash kardeti hai aur is hafta bhi misar mein ek aur raaz faash hwa hai .

misar mein dareaye neel ke maghribi kinare se lag bhag chaar hazaar baras qadeem lakrion ke 20 taboot daryaft hue hain. misar ki hukoomat nay un taboton ki daryaft ko Misri assaar Qadima ke hawalay se ek ahem daryaft qarar diya hai. wazeh rahay ke haliya barson mein yeh sab se barri aur ahem assaar Qadima ki daryaft hai. taboot assaar Nami ilaqay se daryaft hue hain jo dareaye neel ke maghrib mein waqay aasarqdimh par mushtamil qabrustan hai .

Misri wizarat qadeem nawadiraat ney mehfooz aur srbmhr taboot ki tasaveer tweet ki hain, yeh taboot ek barray mqbre mein mojood they, jabkay un ke cheharon aur hathon par banaya gaya naqsh winkar aur rang jo ke surkh, sabz, safaid aur siyah hain ab bhi apni asal haalat mein mojood hain, jo kay sadiyan guzar janay ke baad bhi maand nahi parrin. Misri hakkaam ney un taboton ke baare mein yeh to nahi bataya ke yeh kis ehad ke hain lekin jis jagah se yeh daryaft hue hain woh qadeem Misri shehar thebas ka hissa hai. thebas qadeem misar ka Shahi dar-al-hakoomat hwa karta tha, ibtidayi nshanyon se andaza lagaya ja raha hai ke yeh gayarhavi badshahon ke ehad ka hai jo ke 2081 se leker 1939 qabal maseeh mein guzray hain .