Cairo: Misar kayi aqwam ki sadiiyoun qadeem tareekh ka maskan hai aur aeye din is ke mukhtalif ilaqoun mein qadeem daryaftin hoti rehti hain aur ab taaza tareen daryaft mein sadiiyoun qadeem matti ki taboote daryaft huvi hai jis ne awaami tavajja apni janib mabzol karwalen hain. Misri wizarat sayahat o Assaar e Qadima ne elaan kiya hai ke Dakahlia soobay ke maroof maqam Kom el-Khaljan mein 83 tareekhi qabrastan daryaft huve hain. Ye Misar ka Delta kehlata hai. Daryaft honay walay Assaar ka talluq 4 hazaar qabal maseeh ke nisf awwal se hai. Ye Misar zaireen ya Bhutto ke naam se mashhoor hai.
Tafseelaat ke mutabiq qabrastan baizvi shakal ke hain. Qabrain registani jazeeray mein taraash kar banai gayi hain. Qabroun mein lashen rakhi huvi hain. Mayyatoun ke sath samaan waghera bhi mojood hai. Supreme council baraye Assaar e Qadima ke secretary general Dr. Mustafa Waziri ne kaha hai ke pehli martaba Dakahlia ke ilaqay mein matti ke taboot daryaft huve hain. Is se pehlay matti ke tabotoun mein tadfeen ka koi waqea Record par nahi tha.
Misar ke sabz Delta ke tareekhi maqamat janoobi Misar aur Jiza ke tareekhi maqamat ke muqablay mein ziyada mashhoor nahi hain taham tareekhi aitbaar se ye kam ahem nahi. Naye tareekhi maqamat ki daryaft ke baad Kom el-Khaljan ka ilaqa ahem hogaya hai. Is se pata chal raha hai ke yahan Bhutto tamaddun ke douran ghani abadi rahi hogi. Yahan mazeed qabrastan daryaft honay ke imkanaat hain. Yahan se milnay wala samaan mukhtalif qisam ka hai. Yahan matti ke chhootey chhootey bartan miley hain aur ye bartan haath ke banaye huve hain. Misri Supreme council baraye Assaar e Qadima ke ek idaray ke sarbarah Dr Ayman Ashmaw ke mutabiq yahan se kachi matti ke 2 aisay taboot miley hain jin mein mayyatien akdhoun shakal mein rakhi huvi hain. Un ke atraaf mukhtalif qisam ka samaan mojood hai. Samaan mein kachi matti ke mukhtalif shakal ke bartan hain. –YTN STAFF