Monday, April 29, 2024
HomeTrending NewsMisar ki Tiktok star giraftar

Misar ki Tiktok star giraftar

Cairo: misar ki ek social media star ko khandani eqdaar ki khilaaf warzi aur apne social media accounts aur Websites ko juraim ke irtikaab ke liye istemaal karne ke shay mein hirasat mein le liya gaya hai. Misar ki wizarat dakhla ne apne ek bayan mein un ki giraftari ka elaan kiya hai. Misar ke akhbar ke mutabiq moda Mawada Eladhm ko giraftar kiya gaya aur wo tehqiqaat mukammal honay tak kuch din jail mein hi rahengi.

Social media star warrant giraftari jari honay ke baad Cairo mein apne ghar se faraar hogayi theen taham wazarate dakhla ke tahaffuz baraye ikhlaqi eqdaar ka mehakma enhain is waqt giraftar karne mein kamyaab huwa jab Police ne un ki Car ku Track kiya aur un ke mobile phone aur internet ke istemal ke record ki madad se unhoune Misar ke shehar mai herasat mein liya gaya. Hukkaam ne ta haal ye wazeh nahi kiya hai ke Mawada Eladhm ki giraftari kisi khaas video ya waqeye ke tanazur mein amal mein layi gayi hai. Is video par inhen ghair ikhlaqi harkaat aur khandani eqdaar ki khilaaf warzi par eqdaar ki khilaaf warzi par uksanay ke ilzaam mein hirasat mein liya gaya tha.

Aisa pehli baar nahi huwa ke Mawada Eladhm ne qanoon ki khilaaf warzi ki ho. Inhen rawan saal March mein is waqt giraftar kiya gaya tha jab unhoun ne apne social media account par ek video post ki thi jis mein wo coronavirus ke pesh e nazar nafiz kiye gaye lockdown ki khilaaf warzi kar rahi theen. Taham inhen baad mein zamanat par reha kar diya gaya tha.  22 sala social media star doosri Misri khatoon hain jinhein haliya mahenoun mein samaji eqdaar aur usooloun ki khilaaf warzi se mutaliq videos shaya karne par giraftar kiya gaya hai.

Is se qabal Cairo university mein Archaeological  ki ek taalib ilm 20 sala Haneen Hossam jin par insani Smugling ka ilzaam tha, Ko ek video post karne par giraftar kiya gaya tha jis mein unhoun ne kaha tha ke nojawan ladkiyan aur khawateen apni live videos bana kar aur ajnabioun se baat kar ke 3 hazaar dollars se ziyada kama sakti hain. –YTN STAFF