Monday, April 29, 2024
HomeTrending NewsMisar ki TikTok ladkiyan adalat se Jail muntaqil, Sakht saza mutawaqqa

Misar ki TikTok ladkiyan adalat se Jail muntaqil, Sakht saza mutawaqqa

Cairo: Misar mein TikTok par ghair ikhlaqi video shaya karne par 5 ladkiyoun ko adalat mein pesh kiya gaya hai jinhein mukhtalif sazaoun ka saamna karna pad sakta hai. Misar mein guzashta dinoun mazkoorah ladkiyoun ko masharti eqdaar aur ikhlaq ke manafi video shaya karne ke ilzaam mein giraftar kiya gaya tha.

Tafseelaat ke mutabiq TikTok girls muqadma ke naam se mashhoor honay walay muqadmay ki samaat kal se huvi jis mein TikTok star Mawada Eladhm ko jail ka libaas zaib tan kiye hue pesh kiya gaya tha. Adalat ne TikTok star ko fard jurm sunatay hue kaha hai ke unhoun ne masharti eqdaar, Ikhlaq ke manafi aur khandani rawabit ki beekh kinny karne wala mawaad shaya kiya hai.

Apni safai pesh karte huve Mawada ne kaha hai ke mein ne aisa kuch nahi kiya, Poora Misar samaji Application istemaal karta hai. Baad azan Misri adalat ne muqadma ki samaat 29 June tak multawi kar di. Wazeh rahay ke is se qabal Misri police ne TikTok star Haneen Hossam ko ghair ikhlaqi video shaya karne ke ilzaam mein giraftar kiya tha, Baad azan isi ilzaam mein Mawada Eladhm ko giraftar kiya gaya tha. Mawada Eladhm ke YouTube par 3 lakh jabkay Instagram par 16 lakh Followers hain.

Misri police ne Communication board ko hidayat di thi ke mazkoorah khawateen ke social media account se ghair ikhlaqi video hata di jayen. Is se pehlay March mein Misri police ne Mawada Eladhm ko curfew todnay ke ilzaam mein giraftar kiya tha jab unhoun ne curfew ke douran ghar se baher nikal kar video shaya ki tha.