Cairo: Misar ki musallah afwaj ne faisla kun 2020 ke unwan se badi, Behri aur fazai hamloun se nimatnay ke liye fouji mashqen ki hain. Misar ne Libya samait ilaqay mein dakhal andazi karne wali quwatoon ko mashqoun ke zariye pegham diya hai. Tafseelaat ke mutabiq mashqoun mein badi, Behri aur fazai afwaj ke tamam unit shareek huve. Mashqoun ka maqsad bahera room mein badhatay huve Challenges aur darpaish khatraat se nimatnay ki amli istedad ka muzahira tha.
Misar ek arsay se HASM 2020 ke naam se fouji mashqen kar raha tha ab is ka aakhri marhala mukammal karliya gaya. Mashqoun mein chhatah bardaar aur Commander ne bhi hissa liya. Bahera Ahmar aur bahera room ke sahiloun sameit tamam strategic jehtoun par mumkina hamloun se nimatnay ki mashqen ki gayi.
Misri fouj ke tarjuman colonel Tamer Al-Rifai ne kaha hai ke program ke mutabiq Misri afwaj mukhtalif asleha aur golah barood ke zariye bhi mashqen karen gi. Misri musallah afwaj awam ko ye itminan dilana chahati hain ke wo riyasat ke qaumi mafadaat ka tahaffuz ke tayyar hain aur har strategic jahat mein dushmanoun ke har hamlay se nimatnay ki salaheyat rakhti hain.