Sunday, April 20, 2025
HomeSliderMisar ke sabiq sadar Hosni Mubarak ka 91 baras ki omar mein...

Misar ke sabiq sadar Hosni Mubarak ka 91 baras ki omar mein intqaal

Cairo: Misar ke sabiq sadar Hosni Mubarak ka Cairo mein 91 saal ki omar mein intqaal hogaya. Guzashta haftoun se wo aleel they. Baad azan Surgery ke liye dawakhana mein zair e ilaaj rahay. Khandani zaraye ke mutabiq un ki namaz e janaza Cairo ki Tantavi Masjid mein ada ki jaye gi.

Misar ke sarkari TV channel par ewaan e sadar ne taziyati pegham mein inhen kharaaj aqeedat pesh kiya hai. Isi terhan Misri musallah afwaj ne bhi taziyati pegham mein kaha hai ke Misar ke liye sabiq sadar ki khidmaat yaad gaar rahen gi. Sabiq sadar Hosni Mubarak 30 saal tak Misar ke hukmaran rahay. Wo sadar Anwar Sadar ke qatal ke baad 14 October 1981 mein Misar ke hukmaran banay.

2011 ke douran Misar mein awaami ehtajaji muzahirey jab shiddat ekteyar kar gaye to unhoun ne 11 Feb 2011 ko iqtidaar Misri afwaj ke hawalay kardiya tha aur hukomat se alehda hogaye. Unhoun ne Military College se 1950 mein Degree haasil ki aur taraqqi karte huve fazaiya ke sarbarah ban gaye. Baad azan 1975 mein sadar Anwar Sadat ne inhen naib sadar ke ohday par faiz kardiya tha. 2017 mein Misar ki aala adalat ne awaami muzahiron ke douran halakatoun ke muqadmay mein un ko bari karkay reha kar diya tha. Qabal azeen zareen adalat ne inhen muzahireen ko Security Forces ke hathoun halaak karwane ke ilzaam mein omar qaid ki saza sunai thi. –YTN STAFF