Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsMisar ke maghribi sehraa mein tail ke naye zakhair

Misar ke maghribi sehraa mein tail ke naye zakhair

Cairo: Atalowi company ne Misar ke maghribi sehraa mein tail ke naye zakhair daryaft honay tasdeeq ki hai. Website ke mutabiq Atalowi Company ne bayan mein kaha ke ek saal pehlay is ilaqay mein tail ki pedawar shuru ki gayi thi. Ab yomiya pedawar 12 hazaar Barrel se badh gayi hai. Misri wazeer Petroleum Tarek al-Mala ne bataya ke Atalowi Company, Meleiha ke junoob maghrib mein kaam kar rahi hai. Company ne 15800 feet ki geherai mein Faghur ke ilaqay mein tail ka naya kunwan khoud kar naye zakhair daryaft karliye.

Misri wizarat Petroleum ke bamujab naye kunvey se yomiya 5 hazaar barrel tail nikala janey laga. Ye project Italy ki Eni company aur Misri oil Authority ke ishtiraaq se AGIBA company nikaal rahi hai. Yaad rahay ke Italy ki Eni Company Misar mein 1954 se kaam kar rahi hai aur ye wahan khaam tail nikaalne wali sab se badi company hai. Misri Media ke mutabiq atalowi Company Misar ki Oil Public Authority ki Company BELAYIM PETROLEUM ke ishtiraaq se kam kar rahi hai.