Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsMisar ke Dr Mohammad El Mashaly chal base

Misar ke Dr Mohammad El Mashaly chal base

Cairo: Miser main ghareebon ke masiihaa keh jany walay buzurag Dr Mohammad El Mashaly chal base. Wo apne peechay be shumaar ghareeb misrion ke yahan anmol yaado ka asasa chod gaye hain.

Media ke mutabiq Mashaly ki mout ki ittila Misar aur Saudi Arab hi nahi balkay kayi Arab mulkon mein trained ban gayi aur un ke is dunyae faani se chalay jany par kayi ilaqon mein gham ka mahol hai.

Mohammad El Mashaly nay zindagi bhar ghareebon aur nadaron ke be los khidmat ki. Un ka ek jumla nadaron ke halqon mein bada mashhoor hai. Wo kaha karte they ke mujhe lakhoon Pounds se koi sarokaar nahi nah mujhe 10 hazaar pound matloob hain. Ek sandwich se guzaraa hojata hai bas itna kaafi hai.

Mohammad Mashaly ghareebon mein bohat maqbool they. Ahal Misar inhen tabeb Al kulaba ( lacharon ke Dr ) ke laqab se yaad kiya karte they. Mohammad Mashaly ka mamool tha ke wo awwal to baghair fees liye mareezon ka tibbi muaina kiya karte they. Agar kisi se fees letay to wo bhi allamti hoti thi.

Bataya jata hai ke Mohammad Mashaly ke waalid ne inhen wasiyat ki thi ke ghareebon ki madad karte rehna. Unhoun ne apne betay Mohammad Mashaly ke naam wasiyat nama bhi choda tha. Mohammad Mashaly Arabi adab ke Baba Taah Hussain ki Shahrah Afaq tasneef Al-Mazboon fi Al Arz ( duniya ke sataye hue ) se mutasir they. Taah Hussain ki is kitaab mein ghareebon khaas tor par bemaar aur nadaron ki dekh bhaal ka zikar hai. Mohammad El Mashaly ne zindagi bhar Taah Hussain ki is baat ki pabandi ki.

Mohammad Mashaly ki zindagi par Diabetes mein mubtala is bachay ka bhi bada asar tha jab Mashaly ne is ki maa se bachay ke liye dawa kharednay ki baat kahi to maa ne jawab diya ke mere paas injunction kharednay ki sakt nahi hai. Agar mein ne is ke liye injunction khareeda to mere dosray bachay bhook se mar jayen ge. Mohammad Mashaly kehte they ke bemaar bachay ne jab apni maa ke mun se ye jumla suna to is ne apni maa ko ilaaj ki takleef se bachanay ke liye khud suzi kar li. Mohammad Mashaly kehte they ke is waqea ne mujh par bada asar dala. Isi wajah se mein ghareebon ka muft ilaaj karkay khushi mehsoos