Cairo: Misar ki is waqt ek ahem khabar uska naya sadar maqam hai jisay Singapore ki tarz par taraqqi di jarahe hai. Cairo se 45 kilometer ke faaslay par Misar naya dar-ul-hukoomat tayyar kar raha hai jis ka raqba Singapore ke barabar hoga.
Social Media par naye dar-ul-hukoomat ki tasaveer Viral hain. Misri media ke mutabiq naye dar-ul-hukoomat mein 65 lakh afraad basaye jayen ge. Usay sarkari aur khangi idaray mil kar tamer kar rahay hain. Naye dar-ul-hukoomat mein 20 lakh afraad ko rozgaar ke naye mawaqay haasil hon ge. Naya dar-ul-hukoomat Mohammad Bin Zayed Al Shamali Sector, Conference Center, Exhibition City sarkari dafatir ka ilaqa, Shehrion ka rehaishi ilaqa, Medical City, Sports City, Central Park aur Smart City par mushtamel hoga.
Naye dar-ul-hukoomat ke sarkari ilaqay mein 18 wazaratoun ke dafatir, Parliament house, Awaan sadarat, Awaan wizarat uzma aur uktakhoon ke naam se wizarat difaa ki nai imarat hogi jabkay rehaishi ilaqay mein 25 muhallay basaye jayen ge. Un mein 11 lakh makanaat hon ge. Hotel ke 40 hazaar Rooms hon ge jabkay sadkain 10 hazaar kilometer taweel hon gi.
Naye dar-ul-hukoomat ke sarkari ilaqay mein tamam wazaratoun aur parliament ki Emiratein banai jayen gi. Business zone bhi hoga jahan beshtar Bank qaim kiye jayen ge. Central business zone and towers banaye jayen ge jahan Africa ka sab se oancha tower bi tamer huga.
Buland tareen tower 94 manzila hoga. Ye 400 meter ouncha hoga. Is mein hotel aur dafatir khole jayen ge. Pehlay marhalay mein fallak bose 18 towers taamer hon ge. Misar ne haal hi mein naye dar-ul-hukoomat ke Airport ka iftitah kiya hai. Misar ke wazeer Abadkari Asim Al-Jazar ne elaan kiya hai ke naye dar-ul-hukoomat mein taqreeban 10 lakh afraad kaam kiya karen ge.
Misri wazeer e azam Mostafa Madbouly, ney elaan kiya tha ke naya dar-ul-hukoomat Singapore jitne raqbay par taamer hoga. Ye sarkari dafatir, Sefartkhanon aur rehaishi imaartoun par mushtamal hoga. Naya dar-ul-hukoomat Cairo, Suez aur Ain Sokhna shehroun ke darmain banaya ja raha hai. Yahan duniya ka sab se bada park bhi qaim kiya jaye ga.