Thursday, March 28, 2024
HomeSliderMisar: Alaa aur Gamal Mubarak ki giraftari, judge ko hataane ki darkhwast...

Misar: Alaa aur Gamal Mubarak ki giraftari, judge ko hataane ki darkhwast Manzoor

Misar ki aik adalat ney sabiq sadar Hosaini Mubarak ke dono beyton Alaa aur Gamal Mabarak ki budunwani ke ilzaam mein giraftari ka hukum dainey walay judge ko muqadme ki samaat se door rakhney ke liye dayar kardah darkhwast manzoor kar li hai. Yeh darkhwast wakeel safai ney daayir ki hai aur fauri taur par adalat ke is faisla ki qanooni buniyaad maloom nahi hosaki hai. Cairo ki aik adalat ke judge Ahmed Abul Fatoh ney guzishta hafta ke roz Alaa aur Gamal ko Stock Market mein mobayyana utaar chadhaoo ke ilzaam mein giraftar kar ney ka hukum diya tha. Sarkari istighasa ney un dono bhaiyon sameit paanch afraad par apni Front Companies ke zariya baaz Banks ke shares ki kharidari ka ilzaam aayed kiya tha aur unhon ney is se mutaliq samjhoton se Stock Market ko aagah nahi kiya tha. Yeh paanchon afraad guzishta hafta ke roz qahira mein fouj daari adalat mein muqadma ki samaat ke douran mein haazir thae aur judge ke hukum par wahein unhein hirasat mein le liya gaya tha. Judge ney is muqadma ki mazeed samaat 20th  October tak multawi kar di thi. Abhi tak yeh maloom nahi ho saka ke aaya Alaa aur Gamal Mubarak ki rihayi ke liye ab qanooni kaarwai shuru ki jaye gi ya nahi. Wazeh rahey ke Gamal Mubarak apne waalid Hosaini Mubarak ke daur e sadarat mein hukumaran jamaat ki aik ahem committee ke sarbarah rahay thae aur unhein waalid ka siyasi janasheen khayaal kiya jata tha. Un ke badey bhai Alaa Mubarak siyasat se door rahay thay lekin un par waalid ke assar wo rusookh ko baruwekar laatey huwe bhaari doulat kamaney ke ilzamaat aayad kiye gaye thay. Unhein 2011 mein Hosaini Mubarak ke iqtedaar ke khtama ke baad mutadid martaba thoday thoday waqfay ke baad girftar kiya jata raha tha lekin teen saal qabal unhein jail se raha kardiya gaya tha. Un se do saal ke baad 2017 mein un ke waalid Hosaini Mubarak ko bhi jail se riha kardiya gaya tha. Sabiq sadar aur un ke dono beyton ko May 2015 mein bad unwani ke aik muqadma mein teen, teen saal qaid ki saza sunai gayi thi. Un par qaumi khazana se aik Crore Euro (1.15 Crores Dollars) ki raqam sadaarti mehal ki Tazaeen o Araish par urane ke ilzaam mein muqadma chalaya gaya tha. Taham unhein jab yeh saza sunai gayi thi, iss waqt tak woh qaid ki yeh muddat jail mein poori kar chuke thae.