Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadMiralam Mandi kamaan ki khasta haalat, kisi bhi waqt ek bade haadse...

Miralam Mandi kamaan ki khasta haalat, kisi bhi waqt ek bade haadse ka khatrah

Hyderabad: Miralam Mandi kamaan kab tak khada rahayga Mir chowk mein har gali ke konay mein yeh behas asal mauzo ban chuki hai. chonna plaster ke tukde girnay baad yahan ki dukanat mein mojood awam ko hamesha ek khatrah ka khauf satanay laga hai. Nizaam hukoomat ke zareya taamer kiya gaya hai aur paanch acre par phailay hue tijarti ilaqay jo ke mandi ke naam se har hyderabadi janta hai shehar ka sab se qadeem maqam hai. Miralam Mandi ki khasta haalat se bazaar anay walay aur rahaishion ko shadeed khatrah la-haq hai.

Jab ke ye maamla mutadid martaba mutaliqa hukkaam ke ilm mein laya gaya ke Nizaam ke ehad ke tareekhi dhanchay ki Tazaeen wo Araish ke liye koi iqdaam nahi kiya gaya. Qareebi baazaaron mein mukhtalif ilaqon se anay walay log har roz sabzian kharidne ke liye kamaan se guzarte hain, jo unke oopar mojood khatray se be-khabar hain. Yaad rahay ke Miralam Mandi puranay shehar ki ek tareekhi mandi hai. Afsos ka izhaar kiya jaraha ke mandi ka kamaan pichle kuch saloun se khand may tabdeel hochuka hai. Ohdedaron ne is darwazay ko nazar andaz kiya hai, halaanke is kamaan ki qabil reham haalat ke baray mein GHMC commissionaire aur zonal commissionaire se zaati tor par shikayat ki hai lekin ohdedaron ki taraf se koi jawab nahi mila.

Bohat si gadiyaan kamaan se guzarti hain jis se dhanchay mein darare paeda hoti hain. paanch acre raqbay par phaily yeh manndi 200 saal se ziyada qadeem hai aur ziyada tar dukandaar tan se bani 41 dukanon par baith kar kaam karte hain. Ek dukandaar jo apna naam zahir nahi karna chahta tha ne is ne kaha ke sab se qadeem tareekhi dhanchay ki Tazaeen wo Araish ke liye koi iqdaam nahi kiya gaya aur khasta haal haalat mein jahan har din chhat aur dewaron ke tukde girte rehtay hain aur dukandaar apni zindagi ko khatray mein daaltay hue apna kaarobar chalate rehtay hain is taraf koi tawajah nahi di jarahi hai. 2018 mein Gowliguda bus station jo haadsa paish aaya tha wohi yahan bhi ho sakta hai lehaza yeh ek intehai pareshan kin masla hai.

Barish ke douran plaster ke chilkay deewar aur chat se girtay hain. Is se qabal muqami rehnumao ke zareya kamaan ka muaina kiya gaya tha lekin is dora ka bhi koi faida nahi hua. Manndi ke ek dukandaar ne kaha aas paas ke korray ke dhair bhi is maslay ko badha rahay hain. unhon ne mazeed kaha ke mein chief minister KCR aur mehakma assaar Qadima ke ohdedaron se mukhlisana tor par appeal karta hon ke woh is dhanchay ki haalat ka sanjeedgi se notice len. unhon ne kaha ke congress ke daur mein pooray Miralam Mandi ki Tazaeen wo Araish ki tajweez thi lekin phir is simt mein koi pehal nahi ki gayi hai. Mazeed la parwahi kisi bhi waqt puranay shehar mein ek bada haadsay ki wajah ban sakti hai.