Monday, April 29, 2024
HomeHyderabadMir Alam Tank Park mein Musical Water Fountains taamer karne ka elaan

Mir Alam Tank Park mein Musical Water Fountains taamer karne ka elaan

Hyderabad: Mir Alam Tank Park mein awam ko jald hi mazeed tafrehi samaan aur shandar manazair dekhne ko mil satke hain kyun kay Greater Hyderabad Municiple Corporation ( GHMC ) ne yahan Musical water fountains qaim karne ka iqdaam shuru kiya hai jis mein 2.90 Crore Rupay laagat aeye gi. Corporation ne Mir Alam Tank ke Chintalmet side par 6 aekar par phailay ek wasee Park tayyar kiya tha jis ka is saal ke shuru mein chief secretary SK Joshi ne iftitah kiya tha.

Imliban Park ke baad Mir Alam Park Charminar zone ka dosra sab se bada Park hai aur yahan awam ke liye khaas tor par bachoun ke liye mutadid sahuliyaat mojood hain. Taqreeban 2.51 Crore Rupay ki laagat se tayyar kardah is Park mein Open Gym, Bachoun ke khail ke maidan, Water fountains, Mini Science Park, Mujasmay aur deegar sahuliyaat bhi mojood hain. Is Park ko sirsabz-o-shadaab lawn, Water Cascade aur rangeen wall paintings ke sath sajaya gaya hai. Daccani tarz ka fun, Nizaam ehad ke design ki akkaasi karta hai aur is andaaz mein dewaroun ko sajaya gaya hai.

Awam ke liye Hyderabad mein tareekhi Charminar, Zoo Park aur Salar Jung Museum mein ane waloun ke liye tafrehi sahuliyaat ki pesh kash ki koshish mein koi kasar nahi choadi gayi hai aur ab Corporation Mir Alam Tank par Musical water fountains qaim kar rahi hai jo ke Limbni Lumbini Park mein mojood fountains se mlitay jaltay hon ge. GHMC ke ek Senior ohdedar ne kaha khayaal ye hai ke awam aur bairooni sayaho ko ziyada se ziyada tafreeh ​​pesh ki jaye.

Pani ke chashmay ki shanakht, design, install, Commission, Chalane aur barqarar rakhne ke liye pehlay hi Tender chari  kardiye gay hain. Ohdedar ne kaha ke is mein Multi Media ki roshni se ranga rang lighting aur pani ke fawwaro ko moseeqi se hum aahang karte hue pesh kiya jaye ga.

Ye moahida 5 saal ke liye hoga aur muntakhib Agency ko is nizaam ke kaam aur dekh bhaal ki zimma daari sonpi jaye gi. Agarchay wahan koi laser Show nahi hoga lekin lighting aur music ki khoubsurti ko sayaho ki tafreeh ke liye behtar se behtar banea jaye ga.

Ticketoun ki qeematoun aur deegar pehloun ke barey mein ta haal koi tafseelaat pesh nahi ki gayi hain lekin senior hakkaam ne kaha hai ke mansoobay ke liye agency ka faisla hone ke baad ticketoun ki qeemat ka hatmi faisla karen ge. Unhoun ne kaha ke muahiday ki tareekh se 5 mah mein kaam mukammal ho jaien ge.

Mir Alam Tank tareekh ke aaina mein

Mir Alam Tank 1804-06 mein nawab Mir Akbar Ali Khan bahadur ke daur mein taamer kiya gaya tha aur is ka naam Mir Alam bahadur ke naam par rakha gaya hai. Osman sagar aur Himayat sagar taamer hone se pehlay ye Hyderabad tak peene ke pani ka bunyadi zareya tha aur ye aabi zakheera taqreeban 600 aekar araazi par phela huwa hai. –YTN STAFF