Wednesday, May 7, 2025
HomeHyderabadMillion March ki tareekhi kamyabi ke douran Hyderabadi tanz o mezah tawajah...

Million March ki tareekhi kamyabi ke douran Hyderabadi tanz o mezah tawajah ka markaz

Hyderabad: BJP hukoomat ki janib se muta-arif kardah mutanazia shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf jahan hindustan bhar mein awaami ehtijaj jari hai wahein is khsos mein mulk ke tareekhi shehar Hyderabad mein aaj ( 4 January ) Dharna Chowk par Million March ehtijaj munaqidah kiya gaya jis mein lakhoun afraad ne shirkat karte hue hukoomat ko sakht pegham diya hai ke hindustani awam is ke napak azaim aur sazishoun ke khilaaf khaday hain.

Hindustan ki mukhtalif reyastoun aur shehroun mein waisay to kayi dinoun se ehtajaji muzahirey munaqqid kiye jarahay hain aur Hyderabad mein aisa koi programme nah honay ki wajah se Hyderabad aur Hyderabadioun par tanqidien horahee then lekin jaisay hi adalat ki janib se ijazat mili Hyderbadioun ne is Million March ko kamyaab banatay hue saabit kardiya ke wo hub e watan hain aur jab waqt aata hai to woh mulk aur dastoor ke liye maidan mein aajate hain.

Million March ke aaghaz ka waisay to waqt dopehar 2 bajey tha lekin Hydraabadi awam stage ke paas dopehar 12 bajey se hi jama hona shuru hogaye they aur stage ke nazd apni tasaveer ko social media par shaya karte hue deegar afraad ki targheeb ka samaan tayyar kar rahay they.

Jaisay jaisay Million March ka waqt qareeb anay laga shehar ke har rastay jin mein tank Bund, Necklace Road, ladrikapoll, Basherbagh, Narayenguda, Musheerabad, Rani Ganj, karbalaa maidan, Paradise ke tamam rastay traffic se band hogaye aur awam ki kaseer tadaad jin mein mard o khwatin, Boodhay nojawan sab hi shaamil they hathoun mein tirangaa thaamay Dharna Chowk ki taraf agay badh rahay they.

Million March mein kis ne kiya kaha aur kon kon muqarrar mojood tha is kahin ziyada awam mein Million March mein shirkat karne wali awam ki badi tadaad mauzo behas rahi aur dekhte hi dekhte social media par videos shaya honay shuru hue jis mein lakhoun afraad par mushtamil saroun ke samandar ne wazeh kardiya ke Hyderabad ka Million March tareekhi kamyabi haasil karchokahe.

Million March ke douran bhi khaas Hydrabadi andaaz mein tanz o mizah ke jhalkiyan jagah jagah dekhnay ko mili kyunkay nojawan jo kay Tiktok par pehlay hi kayi mazahiy videos bananay ka tajurbah rakhtay hain un nojawanoun ne is tajurbah ko Million March mein bhi khoob estmaal kiya.

Afreen nahi Modi. Shah bewafa

Hyderabad million march
Hydraabadi tiktok videos mein Afreen bewafa hai ke videos kaafi maqboliat haasil kar chukay hain lekin Million March mein ek nojawan jo Placard thamaay hue tha is par jo jumla tehreer tha is ne sherka kahi tavajja apni janib mabzol karwali kyunkay is par tehreer tha ke Afreen nahi Modi. Shah bewafa hai aur sath hi chaye walay chaye pile aur NRC, CAA aur NPR mustard jaisay jumlay tehreer they

Hitler ka beta Jhutler

Hyderabad million march

Hyderabad Million March ki jo tasaveer social media par gasht kar rahi is mein ek tasaveer kaafi maqboliat haasil kar rahi jis par Hitler ki tasweer mein Modi ki shabeeh banakar is par Hitler ka beta Jhutler tehreer hai jo kay Modi ke jhoot bolnay ki aadat par mazahiy andaaz mein shadeed tanz hai.

Faiz ki Nazam
Hyderabad million march

Hyderabad Million March mein Urdu naara aur shairi bhi kaafi maqbool rahi aur khaas kar Faiz Ahmed Faiz ki nazam hum dekhen jo is waqt kaafi surkhiyoun mein hai is ke Bannaer bhi thamaay kuch nojawan mojood they. PHD Scholar ne ek poster thaam rakha tha jis par Faiz Ahmed Faiz ki nazam ke teen misrey jali huroof mein mojood they. Is ke ilawa Million March ke videos aur nojwanoun ki janib se li janay wali akhtraay tasaveer is waqt ehtijaj ki kamyabi aur Hyderabady awam ki baydaari mauzo behas hai. –YTN STAFF