Friday, May 17, 2024
HomeIndiaMig 21 taiyare qissa Parinah ban jayenge

Mig 21 taiyare qissa Parinah ban jayenge

New Delhi:  Duniya ki har cheez faani hai is haqeeqat ki ek aur misaal anqareeb dekhnay ko mileygi kyunkay kabhi fIzaiya ki shaan rahay puranay Mig 21 tayyaron ko is saal decemeber mein jungi tayyaron ke bairay se bahar kiya jayega. hindustani fizaiya ke sarbarah BS Dhanoa ne media numaindon se kaha Mig 21 tayyaray 44 saal qadeem ho gaye hain aur inhen decemeber mein bairay se bahar kiya jayega.

Unhon ne kaha ke fizaiya ke paas yeh tayyaray guzashta 4 dahaiyo se hain aur iske liye hindostan aeronautic ltd ( HAL ) aur Airforce ke Base repair Depots ( BRD ) tareef ke mustahiq hain. dono ke zareya un tayyaron ka 95 feesad jumla purzey mulk  mein hi tayyar kiya gaya hai jin ki wajah se tayyaron ka rakh rakhao mumkin ho saka. Mig bananay wala mulk roos bhi ab un tayyaron ka istemaal nahi kar raha hai lekin hum udaan bhar rahay hain kyunkay hamaray paas unko rakhnay aur marammat karne ki sahoolat hai.

Difai kalparzoun  ki daraamad ka zikar karte hue unhon ne kaha ke fizaiya ne HAL ko apni zaroorat batayi hai aur kaha hai ke agar aap yeh cheeze banatay hain to hamein unki daraamad nahi karni padegi aur mulk difai shoba mein khud kafeel banayga.

MIG 21 tayyaron ko fizaiya ke bairay mein 74.1973 mein shaamil kiya gaya tha aur un tayyaron ne kargil jung se le kar deegar mo-aqaon par apni ahmiyat saabit ki hai. Mig 21 tayyaray ki taraf se haal hi mein Pakistan ke F 16 jungi tayyaray ko maar giraye jaanay ko unhon ne EK badi kamyabi qaraar diya hai halaanke fizaiya ke wing Commander Abhinandan ne jis Mig 21 Bison tayyaray se F 16 tayyaray ko giraya tha usay up grade karkay jadeed banaya gaya tha. EK report ke mutabiq Hindustan hathyaaron ki daraamad karne wala duniya ka dosra sab se bada mulk hai. abhi sirf Saudi arab hi is muamlay mein Hindustan se agay hai. –YTN STAFF